Page 3 of 27 FirstFirst 1234513 ... LastLast
Results 21 to 30 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #21
    Jab panchi sarey urh jain,
    Her simt andhera cha jaiye,
    Jab guzri batain yad aein,
    Aur beetey lamhe tarpaein,
    Mat tanha tanha ghabrana,
    Tum pas hamare aajana,
    Jab koi din mai sham kare,
    Ya lab ki hansi badnam kare,
    Jab wahshat dil ka nam kare,
    Ya ankh mai neend haram kare,
    Mat tanha tanha ghabrana,
    Tum pas hamare aajana,
    Dil preet hmari duhraey,
    Ya reet purani yad aye,
    Jab milne ko b dil chahe,
    Aur pyar bhra na dil paye,
    Mat tanha tanha ghabrana,
    Tum pas hamare aajana,

  2. #22
    *UDAS MUSAM K RATGAJON ME*
    har aik lamha bikhar gaya ha
    har aik rasta badal gaha ha
    phr aise musam me kon aye
    koi to jaye
    tere nagar ki musafaton ko samait laye
    teri gali ma hamari sochain bikhair aye
    tujhe btaye k kon kaise
    uchalta ha wafa k moti
    tmhari janab koi tu jaye
    meri zuban me tujhe bulaey
    tujhe manaey
    hamari halat tujhe btaye
    tujhe rulaey
    tu apne dil ko b chain aye...

  3. #23
    Agr tum zindagi k safr mai kamyab rehna chahte ho
    to apne har gusse ko pi lo apne dukho ko apne
    sene mai daphan kr do kisi ko b apna samaj k apna
    Derd byan kerne ki koshish mat kro, apna ye dukh
    apne sene mai mehfoz rakho aur itne bahimmat ban
    jao k log tumhari mesalee dain, aise banne k liye
    yaqeenan tumhee kuch qurbania daini paren gi apni aankhon
    k aanson apni palkon ma jazab ker k apne honton per "Muskurahat"
    sajana Qn k log "Muskurahat" k badle "Muskurahat" mangte hain
    "Aanson" nahi

  4. #24
    Agar kaho to hal dil ka sunaon tmko,
    Tmam umr samne bithaun tmko,
    Mere zakhmon ka hal pocho agr jan-e-jana,
    To ik ik zakham ki tafseel sunaon tmko,
    Mot ki neend se gehri b neend hoti ha
    Tere bazuon ka ho takiya to dikhaun tmko,
    Tehi DUA ha k wo waqt phir aye ik bar,
    Tm jo rutho to hath jorr k manaon tmko,,,

  5. #25

    Mohabaton me jo gham mila ha yehi boht ha
    Wo rony ko keh gaya ha yehi boht ha
    Agar wo shakhs ab mera nahi ha to koi gham nai
    Gaye dino me mera raha hai yehi boht ha
    Zarori to nhi kisi ko me yad aaon,
    koi mujhy yad aaraha ha yehi boht ha
    Agar mery khelaf us ny kaha ha lekin,
    Ye faisla us ny khud kya ha yehi boht ha
    Me apny hissy ka hans lon meri kahan ye qismat,
    Bas apny hissy ka ro lia ha yehi boht ha...


    ----------------
    0314-5310052

  6. #26
    Dil mai dard
    Dard mai nasha
    Nashe mai masti
    Masti main mithas
    Mithas mai tashangi
    Tashangi main aarzo
    Aazo main Hasrat
    Hasrat main Umeed
    Umeed main yaqeen
    Yaqeen main khyal
    Khyal main tasavvar
    Tasavvar main tasveer
    Tasveer main ada
    Ada mai hya
    Hya mai shokhi
    Shokhi mai shararat
    Shararat mai gussa
    Gussa mai bnawat
    Bnawat mai apnaiyat
    Apnaiyat mai chahat
    Chahat mai khaloos
    Khaloos mai pyar
    Pyar mai ebadat
    Ebadat mai Khuda
    Khuda se dua..dua

  7. #27
    Dilnasheen Zindgi,Dilruba Zindgi...
    Bemurawat Bhari,Bewafaa Zindgi...

    Mein Ne Socha Boht Fir Bhi Samjha Nahi...
    Mot Se Yeh Tera Silsila Zindgi...

    Aaj Ki Raat To Jashn Ki Raat Hai...
    Khil-khila,Muskara,Gunguna Zindgi...

    Nafrtein,Dushmani,Sarhadein Dooriyan...
    Aisi Baton Mein Rakha Hai Kya Zindgi...

    Hath Tera Jo Choota To Sab Choot Gaya...
    Mujh Se Cheeney Gi Ab Aur Kya Zindgi...

    Gham He Jin Ka Mukadar Hai Unn K Liye...
    Mot Se Bhi Bari Bad-dua Zindgi...

    Yeh Kahin To Hai Khushiyon Ki Barsaat Si...
    Hai Kahin Dard Ki inteha Zindgi...

  8. #28

  9. #29
    Mein Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya,
    Har Fikar Ko Dhoowein Mein Urata Chala Gaya,

    Barbadiyon Ka Sog Manana Fazool Tha,
    Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya,

    Jo Mil Gaya Usi Ko Ghaneemat Samajh Liya,
    Jo Kho Gaya Mein Uss Ko Bhulata Chala Gaya,

    Gham Aur Khushi Mein Faraq Na Mehsoos Ho Jahan,
    Mein Dil Ko Uss Muqaam Pe Laata Chala Gaya,

    Mein Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya,
    Har Fiker Ko Dhowein Mein Urata Chala Gaya,


    -----------------------
    0314-5310052

  10. #30
    pyar ban kar dil mein samao to koi baat bhi ho
    pans aa kar kabhi door naa jao to koi baat bhi ho

    jo na tootne paye umar bhar ke liye koi aesa
    rishta tum banao to koi baat bhi ho

    jo rag e jaan mein mehak utthay mashoor kar de
    tum aisa gul e muhabat khilao to koi baat bhi ho

    dars e insaniyat daine walo kisi bhatakey huae ko tum
    gar raasta manzil ka dikhao to koi baat bhi ho

    milte ho bichharte ho phir milne ki aas dilate ho
    ab umar bhar ke liye saath nibhao to koi baat bhi ho

    mein udas baithi hoon aur kisi sham aa kar tum
    mere soone ghar ko sajao to koi baat bhi ho

    jo andheron mein roshani e umeed bikhare
    tum kash aese diye jalao to koi baat bhi ho:...

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •