Page 1 of 27 12311 ... LastLast
Results 1 to 10 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #1
    Kash Ho Aisa Jab Bhi Mujhko Chahat Ho Teri
    Dil Mange Tera Saath Aur Mujhko Ijajat Ho Teri

    Yaad Karta Hai Dil Phir Bhi Kabhi Chaha Nahi
    Din Nikalta Rahe, Har Din Mujhe Jarurat Ho Teri

    Maine Chaha Hai Bas Itna Hi, Apni Kismat Se
    Ki Jab Tak Jiyun Main, Dil Main Mahobat Ho Teri

    Rooh Mitti Nahi Par, Janti Hun Shareer Nashvar Hai
    Jahan Lun Aakhri Saansein Vahin Aahat Ho Teri

  2. #2
    Tha jis ka intizaar woh paigaam aa gaya
    Mehb oob ke honton pe mera naam aa gaya

    Main jis ki raah dekhta tha roz akela
    Woh shakhs mere paas sar-e-aam aa gaya

    Main sochta tha kya, aur guzri hai mujhpe kya
    Thi zaat meri saaf, ik ilzaam aa gaya

    Jab se hai sar pe kafan para sochta hoon main
    Thi zindagi bechain aur aaraam aa gaya

    Hai is se bara kya saboot ishq ka mere
    Dua mein haath uthe aur tumhara naam aa gaya

    Ho ga udaas mujh se bichar ke wohi
    Jis ke labon pe kal ko mera naam aa gaya...

  3. #3
    Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta,
    Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta

    Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka,
    Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta

    Har Ek Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee,
    Per Raah Main Paray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta

    Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hanstay Rahoo Gay,
    Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta

    Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay,
    Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta

    Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina,
    Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta

    Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker,
    Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta

    Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhta Hoon,
    Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta...

  4. #4
    jahan raat kabhi bhi soyi na ho
    jahan subah kisi pe royi na ho
    jahan hijer ne wehshat boyi na ho
    jahan koi ksi ki khoyi na ho

    mujhe aur kahin le chal saanwal!

    jahan shehar hon saare weerane
    jahan log sabhi hon begaane
    jahan sab ke sab hon deewane
    jahan koi humain na pehchane

    mujhe aur kahin le chal saanwal !

    jahan nafrat dil main bas na sake
    jahan koi kisi ko dass na sake
    jahan koi kisi pe hans na sake
    jahan koi bhi gunjal kass na sake

    mujhe aur kahin le chal saanwal!

    jahan dard kisi ko raas na ho
    jahan koi malool udaas na ho
    jahan zulmat ki boo baas na ho
    jahan tu bhi ziada paas na ho

    mujhe aur kahin le chal saanwal !

  5. #5
    Ai dost jinn se hum ko tawaqo gulon kee thee,
    Woh raaston mein khaar bakhere chale gaye,

    Haath mein apne jaal sunehri liye hue,
    Gehre samundron ke machhere chale gaye,

    Kuchh maikade kee sammat gaye jhoomte hue,
    Kuchh manchale faqeer ke dere chale gaye,

    Pehle se abb kahan woh mohabbat ke roz-o-shab,
    Shaamein chali gayi who savere chale gaye,

    Ai dost jinn se hum ko tawaqo gulon kee thee,
    Woh raaston mein khaar bakhere chale gaye,

    Jo loot-te thay din ka saqoon raat ka qraar,
    Kis desh ko woh haseen lutere chale gaye

  6. #6
    Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
    Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
    Din Raat Daudti Duniya Mein,
    Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.




    Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
    Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
    Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
    Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.


    Saare Naam Mobile Mein Hain,
    Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
    Gairon Ki Kya Baat Karen,
    Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


    Aankhon Me Hai Neend Badee,
    Par Sone Ka Waqt Nahi.
    Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
    Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.


    Paison ki Daud Me Aise Daude,
    Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
    Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
    Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


    Tu Hi Bata E Zindagi,
    Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
    Ki Har Pal Marne Walon Ko,
    Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi...

  7. #7
    Meri zindagi mujhe ye bata
    muje bhool kar tujhe kya mila

    Meri hasraton ka hisab de
    dil tor kar tujhe ka mila

    Tere char din k pyar se
    mujhe umr bhar ka gham mila

    Main toot kar bikhar gaya
    mujhe tor kar tujhe kya mila

    Meri zindagi mujhe ye bata
    meri zindagi mujhe ye bata

    Mujhe bhool kar tujhe kya mila
    muje bhool kar tujhe kya mila

  8. #8
    Zindagi ab ßë wäfä §ï lägtï häÿ !
    Pass reh ker Juda si lagti hai

    Zindagi Aab Bewafa Si Lgti Hai

    Mein Tumhare Beghair Bhi Jee Loon Ga
    Ye Dua Bud-Dua si Lagti Hai

    Naam Is ka Likha Hai Ankhon Par
    Aansoon ki Khata Si lagti hai

    Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
    Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai

    PYAAR Karna Bhi Jurm Hai Shaid
    Aaj DUNYA khafa Si Lagti Hai

  9. #9
    main mohobat hoon mujhe pyar kar kay dakh.
    main mohobat na don tu khna.

    main keetab hoon mujhe per kar dakh.
    main samj na aon tu khna.

    main muskorahat hoon mujhe has kar dakh.
    main na sajon taray hontoo per tu khna.

    main kushboo hon mujhe mahsos kar kay dakh.
    na mahkoon tare zindagiii may tu khna.

    main zindagii hoon mujhe apna kar kay dakh.
    na bano tare tu khna.

    main chahat hoon mujhe seenay say laga kar dakh.
    na lagoon seenay say tu khna.

    main dil hoon mujhe sun kar dakh.
    na darkoon taray dil may tu khna.

    main sans hoon mujhe may mehak kar dakh.
    na taray sang mehakoon tu khna.

    main rha hoon mujhe per chal kar dakh
    na tare rah ban kar chaloon tu khna.

    main manzeel hoon mujhe per a kar dakh.
    na taer manzeel bano tu khna.

    main badal hoon mujhe may hella ho kar dakh.
    bars kar jal thal na kar doon tu khna.

    main shama hoon maray pass a kar dakh.
    na roshni don tu khna.

    main kalee hoon mujhe choo kar dakh.
    na phool doon tu khna.

    main phool hoon mujhe laga kar dakh.
    na mahkoon din rat tu khna

  10. #10
    Phoolon sey achi us ki khushboo,
    Kaliyon sey pyaari us ki muskaan,
    Sitaron sey chamakta hua chehra,
    Koyal si meethi zabaan,
    Chand bhi chup jaye yeh keh kar,
    Aasmaan par ab kya hai mera kaam,
    Chandni to aa nikli zameen sey,
    kaisi hai yeh kudrat ki shaan,
    Fursat sey banaya hoga rab ney,
    Farishton ka nahin yeh kaam,
    Mitti sey baney hain hum sab,
    Us mein sonay ko milaya hoga,
    Hooron ney bhi hasrat sey dekha hoga,
    Pariyon sey sundar yeh insaan,
    Alfaaz bhi kum partey hain kehney ko...
    AISI HAI MERI JAAN !

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •