Results 1 to 2 of 2

Thread: Sachh

  1. #1
    Main sachh nahi bolta, sachh meri zubaan pe aa jaata hai.
    Na jaane kyon kuch logon ko khuda aisa bana deta hai.

    Yeh dard hai ya karaar kisiko bhi maloom nahi,
    Kuch logon ko aisa tohfa, khuda deta hai.

    Aasmaan me baadal hain, meri aankhon me ashk,
    Kuch logon ko aisi barsaat, khuda deta hai.

    Is dil mein sada hai roshan shama-e-mohabbat,
    Kuch chiragon ko suraj, khuda bana deta hai.

    Mujhe maarne ki koshishen nakaam hi rahi hai,
    Sare khanjaron ko phool, khuda bana deta hai.

    Kabhi khaak thi yahan, abhi udte hain parinde,
    Zameen ko aasmaan, khuda bana deta hai.

    Jhankoon jo khud mein, to tum nazar aate ho,
    Kuch aaine, khuda aise bana deta hai.

    Meri yeh zindagi hai behta hua pani,
    Is dariya ko samandar, khuda bana deta hai.

    Yun to hume manzilon se koi vaasta nahi,
    Kuch raaston ko manzilen, khuda bana deta hai.


    ------------------------------------------------------------
    ~ Aashik
    ------------------------------------------------------------

  2. #2
    well nice try and welcome here =)

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •