Page 2 of 27 FirstFirst 123412 ... LastLast
Results 11 to 20 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #11
    Palke chamak uthi hain neend me hamari,
    aankho ko abhi khwab chhupane nahi aate..

    ye na samajhna ki tumhe bhool gaye hum,
    bas baat shuru karne ke bahaane nahi aate..

    Aa to jati hai Qadmo me saari duniya magar,
    Laut kar kabhi fir se guzre zamaane nahi aate..

    Mehfil me sabhi sochte hain ki ise gam nahi koi,
    Hum pee jate hain AshQ kisi ko dikhaane nahi aate..

    Jo Dil me hai mere wahi baat zubaan par hogi,
    Hume bayaan karne bas ye Fasaane nahi aate..


    --------------------
    0314-5310052

  2. #12
    Bahoot tamanna thi...

    Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
    Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
    Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,
    Saza mili hai hume muskurane ki



    Hasraton pe rivaajo ka sakhta pehraa hai,
    Na jaane kaun si ummeed pe jaake yeh dil thehraa hai,
    Meri aankhonmein se chhalakte hue yeh ashk aur gam ki kasam;
    Mera yeh pyaar... Bahot gehraa hai...


    Aansuo mein raat bhar rona para ,
    Tery milan sy to haath dhona para ,
    Tery milna tha khwaab mera ;
    Khwaab laany k liye sona para...

    Taarikh ke duniya mein kabhi aisa bhi dor aayi hai...
    Lamhon ne khata ke hai, Sadiyon ne sazaa paayi hai...
    Zindagi mein do he lamhe bari mushkil sy guzaary ,
    Ek tery aane sy pehlay... or ek tery jaany k baad...

  3. #13
    chaand ko sitaron se aur mujhe tum se muhabbat hai
    phoolon ko baharon se aur mujhe tum se muhabbat hai

    mehfil mai jo milna to nigaahon ko jhuka lena
    koi yeh samajh na paye ke mujhe tum se muhabbat hai

    tere hijer mai bas abh aik kaam hai asmaan tukna
    tum sitaron par likh dena mujhe tum se muhabbat hai

    hai humain ahsaas k tum ko bhi hum se payar hai lekin
    yeh mere ru ba ru kehna ke mujhe tum se muhabbat hai

    --------------------
    0314-5310052

  4. #14
    Tumhara ashk barsana mujhe acha nahi lagta jana
    Tumhara yun bikhar jana mujhe acha nahi lagta jana
    Tumhara humsafar hona mujhe acha tu lagta ha jana
    Tumhara thak k ruk jana mujhe acha nahi lagta jana
    Tumhara pyar mai larna mujhe acha tu lagta ha jana
    Magar khamosh ho jana mujhe acha nahi lagta jana

  5. #15
    Aik chand tanha khara raha
    Mere asmaan se zara prey

    Mere sath sath safar mai tha
    Meri manzilon se zara prey

    Teri justajo ke hisaar se
    Tere khawab tere khayal se

    Main wo shakhs tha jo khara raha
    Teri chahton se zara prey

    Kabhi dil ki baat kahi na thi
    Jo kahi to wo b dabi dabi

    Mere lafz poory to thay magar
    Teri sma'aton se zara prey

    To chala gya mere humsafar
    Zara dekh mur k to ik nazar

    Meri kashtiyan hain jali huwi
    Tere sahilon se zara prey

  6. #16
    Wo shakhs mujhe pyara ha usse kehna,
    Wohi jeene ka sahara ha usse kehna,
    Log pyare hain bohat se mujh ko,
    Wo sab se pyara ha usse kehna,
    Muhabatein,
    Shikayatein,
    Adawatein uski,
    Mujhe sab Ganwara hain usse kehna,
    Chahne wale aur b hain lekin
    Ye "Dil" sirf or sirf tumhara ha usse kehna.

  7. #17
    Kash hum tum ajnabi hote
    Jis tarha or log hote hain
    Betaluq se betaruf se
    Beqarari na bekali hoti
    Namukmal na zindagi hoti
    youn na hotin aziaten dil me
    Zindagi b na hoti mushkil main
    Aanson se na roshani karte
    Apne dil se na dushmani krte
    Youn na hum ko judai tarpati
    Kaash hum tum b ajnabi hote

  8. #18
    Ek aisa roz b aye ga
    jab yad meri dohrao gey
    tab kuch bhul na pao gey
    tum lakh bulana chaho gey
    Ek aisa roz b aye ga
    jab rah hamari dekho gey
    phir guzra waqt na aye ga
    tum lakh bulana chaho gey
    ek roz aisa b aye ga
    tumhain naye sathi mil jayen gey
    per hum tum mil na payen gay
    tum jab b ayna dekho gey
    tu aks mera he pao gey
    ek roz aisa aye ga
    tum sehra sehra bhatko gey
    wo gulshan ho ya wirana
    per humko dhund an pao gey
    ek roz phir aisa aye ga...

  9. #19
    Aisa nahi k tujh se muhabbat nahi humain,
    gham roz roz sehne ki adat nahi humain,
    har bar tere saamney sar ko jhuka lia,
    Aur phir b dekh tujh se shiayat nahi humain,
    Tu ye etibaar ker, k tujhe chahte hain hum,
    Tere siwa kisi ki b chahat nhi humain,
    hum jaantey hain k tu b hai tanha hamary bin,
    Auron se pochne ki zaroorat nhi humain,
    tu Qatal b kre ga o Aayian gey terep paas,
    Dekh tere baghair rhne ki aadat nhi haumain,

  10. #20
    kbi moam bn k pighal gia,
    kbi girte girte sambhal gia,
    wo bn k lmha gurez ka,
    mere pas se nikal gya,
    usse rokta b to kis tarha,
    k wo shakhs itna ajeeb tha,
    kabi tarap utha meri aah se,
    kabi ashk se na pighal saka,
    Sar-e-rah mila wo agr kbi,
    to nazar chura k guzar gia,
    wo uter gia meri ankh se,
    Meray dil se kyun na uter saka,
    Wo chala gya jahan chor k,
    main wahan se phir na palat saka,
    Wo samghl gia tha "Faraz" mgr
    main bikhar k phr na simat saka...

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •