Kitni azii-at se us ne mujh ko bhulaya hoga,
Meri yadon ne usse khoob rulaya hoga.

Baat be baat aankh us ki jo chhalakati hogi,
Us ne chehre ko bazuon main chhupaya hoga.

Socha hoga us ne din mein kai baar mujhe,
Naam hatheli pe bhi likh likh ke mitaya hoga.

Jahan us ne mera zikr suna hoga kisi se,
Us ki aankhon mein koi aansu to aaya hoga.

Raat ke bheegane tak neend na aai hogi tujhe,
Tu ne takiye ko bhi seeney se lagaya hoga.

Ho ke nidhal meri yaadon se tune jana,
Meri tasveer pe sir apna tikaya hoga.

Poocha hoga jo kisi ne teri halat ka sabab,
Tune baton mein khoob us se chhupaya hoga.

Jab kabhi chand ko dekha akele tu ne,
Tujhe mera saath bada yaad aaya hoga.