Kahan aa ke rukne the raaste,
Kahaan mod tha, ussay bhool jaa,
Joo mil gaya ussay yaad rakh,
Joo nahien mila ussay bhool jaa,

Woh tere naseeb ki baarishein,
Kisi aur chhat pe baras gayien,
Dil-e-bekhabbar meri baat sun,
Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa,

Mein to gum thaa tere hi khayaal mein,
Teri aass tere gumaan mein,
Saba keh gayi mere kaan mein,
Mere paas aa ussay bhool jaa.

Kisi ki aankh mein nahien ashq-e-gham,
Tere baad kuch bhi nahien hai kam,
Tujhe zindagi ne bhulaa diya,
Tu bhi muskuraa ussay bhool jaa.

Na woh aankh hi teri aankh thi,
Na woh khwaab hi tera khwaab tha,
Dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagnaa,
Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa.

Yeh jo raat din ka hai khel saa,
Ussay dekh iss pe yakeen naa kar,
Nahien aks koi bhi mustaqil sar-e-aaena,
Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa.

Jo bisaat-e-jaan hi ulatt gaya,
Woh jo raaste mein palat gaya,
Ussay rokne se haasil kya,
Ussay matt bulaa, ussay bhool ja.