Jab bade bade iss jung mein haar gaye,
To koi qayar bane to kya tazoob hai,
Jab alfaazon ke ilawa koi saath na diya,
To hum Nadaan bane to kya tazoob hai

Jab yakeen hi uth gaya hai khud ke upar se,
To kadam ladkhadayein bhi to kya tazoob hai,
Jab zameen hi khisak gayi pairon ke tale se,
To koi gir bhi pade toh kya tazoob hai

Jab pankh hi toot gaye sapno ke,
To udaan na bhari to kya tazoob hai,
Jab saath hi choott gaya sahil ka,
To safar adhura reh gaya to kya tazoob hai

Jab armaan hi dum tor gaye intezaar mein,
To waqt ruk gaya to kya tazoob hai,
Jab khud ko pehchan'ne mein hi hua dhoka,
To nishana chook gaya to kya tazoob hai

Jab bhari mehfil mein bhi ruswai mili,
To Nadaan akela hai to kya tazoob hai,
Jab aks ne bhi jism ka saath na diya,
To ishq/husan bewafa hua to kya tazoob hai

Jab karwat modne pe hi badle insaan rangat,
To rahgir raah chhor de to kya tazoob hai,
Jab aaine mein apni surat hi hai gumshuda,
To pehchaan kho gayi to kya tazoob hai

Jab ashqon ne hi lagai hai dil mein aag,
To khwahish raakh hue toh kya tazoob hai,
Jab aansuon se afsana hi mit jaaye,
To yaad khaak hue toh kya tazoob hai