Na Mila raah mein koi Shajar zamana huwa
Huwa naa khatm mera Safar zamana huwa

Kiya tabassum key pathraa gai nazar ab to
kisi ney loot liya dil ka Nagar zamana huwa

wo naqsh-e-paa ki surat rah mein chhor gaya
nazar jamaaey sar-e-rah Guzar zamana huwa

naa janey dil sey wo kaisi chaal chal jaaey
bisat-e-ishq pey jamaey Nazar zamana huwa

mein bikhar jaaonga, qismat sey bhi lar jaonga
teri chahat mein dushman Agar zamana huwa

tu hi ab maang ley aey dost khuda sey mujhey
meri duaaein huwey bey Asar zamana huwa

aa meri banhon mein choom loon lab-o-aariz
humsafar tujh se miley toot Ker zamana huwa

han dil ki baat sabat tujh se bayan kerta hey
mila naa tujh saa koi Moatbar zamana huwa

Gems4U ...