dekh lo khuaab magar khuaab ka charcha na karo
log jal jayan ge sooraj ki tamanna na karo


waqt ka kaya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo


kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayan gi
aur kuch roz abhi aiina dekha na karo


ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
apne din raat ko itna bhi akela na karo


khuaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab dekha na karo khuaab dikhaya na karo

bekhiyali main kabhi ungliyan jal jayain gi
raakh guzre hoye lamhon ki kureedah na karo