Results 1 to 9 of 9

Thread: Vo nazani...

  1. #1
    Vo nazani har din kuchh adaa naya kartee hain, kabhi humse nafrat to kabhi haya kartee hain...
    Vo nazuk etni hai ki usse titliya bhi na dare, ek hum hai jo usse baat karne se dara karte hain...
    Aakhir kaun nahi chahega uske kareeb aana, lo vo phoolo ko chhukar unpar daya kartee hain...
    Tum yun tayaar hokar na nikala karo ghar se, shaher ki hasinaye tumhe dekhkar jala kartee hain...
    Ese hi chala karo tum nazar jhukaye huye, tere ek nazar se hum jaise log mara karte hain...
    Dharkano ke sath samay bhi thaher jata hai, vo jadugarni jab jab zami pe chalaa kartee hai...
    Kabhi hume bhi dekhkar muskura liya karo, tumse hi zindagi me hum rang bhara karte hai...
    Jiski roshanee bikhari huyi hai baharo me, uski yado ke jalte diye se hum jala karte hain...
    "¡ ?Ôv? ‡Ó ?ã?? ?? †?ë ????, ???åÙ?? ?ø õ?è ??? ??Ë M? ???.- ??Ä???? ??@Þ???..."



  2. #2
    Welcome to the poetry section dear, keep posting =)

  3. #3
    thanks tulip
    "¡ ?Ôv? ‡Ó ?ã?? ?? †?ë ????, ???åÙ?? ?ø õ?è ??? ??Ë M? ???.- ??Ä???? ??@Þ???..."



  4. #4
    Koi Bhula Sakta Nahi...

    Koi Bhula sakta nahi kisi ko Bhul jane ke baad
    Koi Saamne aa jaye kisi ko Yaad karne ke baad

    Kyun chorr diya Hamara sath, kya Hum ne Khata ki
    Khuda bhi Maaf ker deta hai Gunaah hone ke baad

    Kyun aate ho Hamein Yaad, kyun Tarpate ho Mujhe
    Aadmi Khush hota nahi her Ek Khushi milne ke baad

    Mohabbat ke Safar mai kitne Door chale gaye hain jab ,
    Hum Kyun wapis pukarte ho Manzil ke qareeb aane ke baad...

    Aansoo hai kamzor Sahara Mere Jeewan ka
    Kyun aate ho pouchne, Aankhein sukh jane ke baad

    Na mana karo Hamein Pyaar karne se Tujh ko
    Kyun log Bagawat karte hain Pyaar kerne ke baad

    Karle Deedar apne Mehboob ka
    Ji bhar ker Koi aata nahi milne Qabar mai jane ke baad

    Koi kisi ka Haal-e-Dil jaan nahi sakta
    Murda Jism hi janta hai Qabar mai jane ke baad

    Izzat, Zillat, Gunah, Sawaab kya hai koi bata de?
    Na aana chahta koi Dunya mai Qayamat dekhne ke baad

    Koi Bhula sakta nahi kisi ko Bhul jane ke baad
    Koi Saamne aa jaye kisi ko Yaad karne ke baad...
    "¡ ?Ôv? ‡Ó ?ã?? ?? †?ë ????, ???åÙ?? ?ø õ?è ??? ??Ë M? ???.- ??Ä???? ??@Þ???..."



  5. #5
    Wo hum hain...


    Hatheli Saamne Rakhna, Ke Sab Aansoo Gire Usme…
    Jo Ruk Jaayega Honthon Par, Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.


    Jo Chal Jaaye Hawa Thandi, To Aankhen Band Kar Lena…
    Jo Jhonkaa Tez Ho Sabse, Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.


    Jo Jyaada Yaad Aaun Main, To Ro Lena Jee Bhar Ke…
    Agar Hichki Koi Aaye, Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.


    Agar Tum Bhoolna Chaaho, Mujhe Shaayad Bhulaa Do Tum…
    Magar Jab Saans Lena Tum Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”...
    "¡ ?Ôv? ‡Ó ?ã?? ?? †?ë ????, ???åÙ?? ?ø õ?è ??? ??Ë M? ???.- ??Ä???? ??@Þ???..."



  6. #6
    Nice work Fory =)

  7. #7
    Thank you tulip
    "¡ ?Ôv? ‡Ó ?ã?? ?? †?ë ????, ???åÙ?? ?ø õ?è ??? ??Ë M? ???.- ??Ä???? ??@Þ???..."



  8. #8
    Hum to SHAYAR...

    Hum to SHAYAR na they kabhi...
    SHAYARI to unki YAADON ne sikha di hume !!!

    Hum to ASHIQ na they kabhi...
    ASHIQUI to unki BAATON ne sikha di hume !!!

    Hum to DEEWANE na they kabhi...
    DEEWANGI to unke PYAR ne sikha di hume !!!

    Hum to ROTE na they kabhi...
    RONA to unki TANHAIYO ne sikha diya hume !!!

    SHABDO KO PYAR BHARE ALFAZO mein bolne wale to hum na they...
    IS TARAH bolna unki MOHABBAT ne sikha diya hume !!!

    APNE PYAR KA ISHAAR karne wale to hum na they...
    lekin unke IKRAAR ne ISHAAR karna bhi sikha diya hume !!!
    "¡ ?Ôv? ‡Ó ?ã?? ?? †?ë ????, ???åÙ?? ?ø õ?è ??? ??Ë M? ???.- ??Ä???? ??@Þ???..."



  9. #9
    Hum apni WAFAON...

    Hum apni wafawon ka sila kis se mangtay,
    Hum hi be-wafa the, toh wafa kis say mangte...

    Khud hee to kee thi hum ne apnay Rab say baghawat,
    Phir hum jo duwa mangtay, to kis se mangte...

    Jo they Kareeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan they,
    Is Dil ki duwa mangtay, to kis se mangte...

    Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum se,
    koi shokh ada mangtay, to kis se mangte...

    Jo waqt guzar jayee woh wapis nahi aata,
    Woh gujra waqt mangte, toh kis se mangte...

    hum us kee justajoo main hue khud se be-gaane,
    Hum ghar ka pata mangtay, to kis say mangtay...
    "¡ ?Ôv? ‡Ó ?ã?? ?? †?ë ????, ???åÙ?? ?ø õ?è ??? ??Ë M? ???.- ??Ä???? ??@Þ???..."



Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •