Tere Gale Mein Jo Banhon Ko Daal Rakhte Hain
Tujhe Manane Ka Kaisa Kamal Rakhte Hain

Tujhe Khabar Hay Tujhe Sochne ki khatir
Bahot Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakhte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikka Uchhaal Rakhte Hain

Tumhare Ba'ad Ye Aadat Si Ho Gayi Apni
bikharte Sookhte Patte Sanbhaal Rakhte Hain

Khushi Si Milti Hay Khud ko Aziyyaten De Kar
So Jaan Boojh K Dil Ko Nidhaal Rakhte Hain

Kabhi Kabhi Wo Mujhe Hans Ke Dekh Lete Hain
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayaal Rakhte Hain

Tumhare Hijr Main Ye Haal ho Gaya Apna
Kisi Ka Khat Ho Usse Bhi Sanbhaal Rakhte Hain

Khushi Mile Tou Tere Ba'ad Khush Nahi Hote
Hum Apni Aankh Mein Her Dam Malaal Rakhte Hain

Zamane Bhar Se Chhupa Kar Wo Apne Aanchal Mein
Mere Wujood K Tukre Sanbhaal Rakhte Hain

Kuchh Iss Liye Bhi Tou Behaal ho Gaye Hum Log
Tumhari Yaad Ka Behad Khayaal Rakhte Hain...

-Wasi Shah