Meri taswir mein rang aur kisi ka to nahi,
Gher len mujhko sab aa ke main tamasha to nahi.

Zindagi tujhse har ek sans pe samajhuta karun,
Shauq jine ka hai mujhko magar itaa to nahi.

Rooh ko dard mila dard ko ankhen na mili,
Tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi.

Sochte sochte dil dubne lagta hai mera,
Zahan ki tah main ‘Muzaffar’ koi dariya to nahi.

Zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi,
Saya diwar pe mera tha sada kis ki thi.

Uski raftar se lipti rahi meri ankhen,
Us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi.

Waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai,
Main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi.

Ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera,
Hath to main ne uthaye the dua kis ki thi.

Meri ahon ki zaban koi samajhta kaise,
Zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi.

Aag se dosti us ki thi jala ghar mera,
Di gai kis ko saza aur khata kis ki thi.

Main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate,
Kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi.

Chor di kis liye tu ne “Muzaffar” duniya,
Justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi.