Aaj se theek 63 saal pehle eik dil ke do tukde huye the. Eik Dil Hindustan bana aur doosra Pakistan. Lekin kya unn dilon ne dhadkana bandh ker diya? Kya unn dilon se pyar ka jazbaa khatm ho gaya? Kya sirf un dilon ke tukde ho jaane se unki tehzeeb, unki khasiyat aur unki dhadkanein badal gayeein? Mujhe nahin lagta aisa kuchh bhi hua hai.

Haan main unn siyaasatdaanon ki soch ke baare mein kuchh bhi nahin keh sakta aur mujhe ye bhi nahin pata ke woh kaun si majbooriyan unke saath theein jinhon ne inn masoom dil ke tukdon ke ander nafrat ke beej bhar diye. Kya iss duniya mein do bhai alagh nahin hote aur woh alagh ho ker bhi sukoon se nahin reh sakte? Mujhe aaj tak inn sawalon ka jawab nahin mila.

Jab main paida hua tou mujhe ye kaha gaya ke Pakistan hamara dushman mulq hai. Aur main ye bhi jaanta hun ke aap sabko bhi yahi bataya gaya hoga ke Hindustan aapka dushman mulq hai. Lekin aaj main poochhta hun ke kya Tulip aur Sikandar dushman hain? Kya Heman aur Shades dushman hain? Nahin hum eik hain kyunki hamari soch eik hai. Hum ye chahate hain ke Hindustan bhi aage badhe aur Pakistan bhi aage baddhe. Tulip ko bhi sukoon aur khushiyan miley aur Sikandar bhi khushhaal rahe. Shades aur Heman bhi eik doosre ki khushiyon ki tamanna karein. Aap ki dil Pakistan hain aur hamara Hindustan. Aur donon dil hi hamein pyare hain aur hamare liye queematee hai. Aur ye baat main daawe aur faqr ke saath kehta hun ke meri ye soch sirf eik sikandar ki soch nahin hai. Yahan ke zyadatar log ki soch yahee hai.

Aaj har taraf maara maari hai. Koi aapko dehshatghard kehta hai aur koi hamein. Lekin kya hum sahi mein dehshatghard hain? Hum unn dehshatghardon ko nahin jaante jo hamare beech ki ghalatphamiyon ka fayda le ker, donon mulq ki masoomon ki jaan le rahe hain. Hum unehin nahin jaante. Haan dekhne mein tou hamari tarah hi insaan lagte hain. Lekin unki aakhon mein hamari taraf khushi aur masoomiya ki chamak nahin hoti. Unki aakhon mein eik soonpan hota hai vahashipan ka. Unke liye sabhi barabaar hai jinein woh maarna chahate hain.

Kya ye waqt nahin hai, hum sabke liye ke hum iss Aman ke August, apne Aman ki Asha ko sahi tarah se apnee zindagi mein shamil karein. Hum sab eik doosre se sirf is net ke sahare nahin, balke sachhi zindagi mein milein. Main nahin haarne wala aur na meri soch haarne wali. Hum zaroor milenge InshAllah. Main Saira, Tulip, Endurer aur mere saare doston ke aankhon ki chamak aur chehre ki khushiyon ko abhi se mehsoos ker raha hun jab main unse miloonga aur mujhe poora yaqeen hain woh bhi aisa hi kuchh mehsoos kar rahe honge. Meri aankhon ki chamak aur mere chehre ki khushi ko unn aane wale lamhon ko sehjane ki khatir jab hum kabhi aap sab se mil ker kahenge Salam Doston. Main aapse hi milne aaya hun aur aapke liye ye chhoti si shaugaat le ker aaya hun - isse qubool kijye !

Kya aap sab mera saath denge mere iss sapne ko poora kerne mein?

Aakhir mein bas main yahin keh sakta hun - AAP SAB MUJHE BAHUT HI PYARE HO !!


Chhodo kal ki baatein, kal ki baat purani, naye daur pe likhenge mil ker nayee kahani !!