On our Independence Day celebration at our Residential Complex, I performed this song -

Woh subah kabhi tou aayegi, woh subah kabhi tou aayegi
Inn kalee sadiyon ke sarr se, jab raat ka anchal sarkega
Jab dukh ke badal pighalenge, jab sukh ka sagar chhalkega
Jab amber(aasmaan) jhoom ke nachega, jab dharti naghmein gaayegi
Woh subah kabhi tou aayegi, woh subah kabhi tou aayegi !!

Daulat ke liye jab aurat ki ismat se na khela jayega
Chaahat ko na kuchla jayega, ghairat ko na becha jayega
Apni kalee kartooton pe, jab ye duniya sharmayegee
Woh subah kabhi tou aayegi, woh subah kabhi tou aayegi !!

Maana ke abhi tere mere, armanon ki queemat kuchh bhi nahin
Mittee ka bhi hai kuchh moal magar, insaanon ke queemat kuchh bhi nahin
Inn bhookhe pyase hoothon pe, eik din tou karam pharmayegi
Woh subah kabhi tou aayegi, woh subah kabhi tou aayegi !!