uljhan sulajhe na rasta soojhe na
jau kaha main jau kaha??

mera dil ka andhera
huwa aur ghanera
kuchh samajh na pau
kya hona hain mera
khadi do rahein par
ye sochu ghabhrakar
jau kaha main ??

jo saans bhi aaye
tan cheer ke jaye
is haal se koi
kis tarah nibhaye
na jeena raas aaya
na marna hi bhaya
jau kaha main ??

koi aas pale na
koi phool khile na
taqdeer ke aage
meri pesh chale na
bahut ki tadbeerein
na tooti zanjeerein
jau kaha main