Results 1 to 10 of 10

Thread: Aman ka August, Aman ki Asha

  1. #1
    Aaj se theek 63 saal pehle eik dil ke do tukde huye the. Eik Dil Hindustan bana aur doosra Pakistan. Lekin kya unn dilon ne dhadkana bandh ker diya? Kya unn dilon se pyar ka jazbaa khatm ho gaya? Kya sirf un dilon ke tukde ho jaane se unki tehzeeb, unki khasiyat aur unki dhadkanein badal gayeein? Mujhe nahin lagta aisa kuchh bhi hua hai.

    Haan main unn siyaasatdaanon ki soch ke baare mein kuchh bhi nahin keh sakta aur mujhe ye bhi nahin pata ke woh kaun si majbooriyan unke saath theein jinhon ne inn masoom dil ke tukdon ke ander nafrat ke beej bhar diye. Kya iss duniya mein do bhai alagh nahin hote aur woh alagh ho ker bhi sukoon se nahin reh sakte? Mujhe aaj tak inn sawalon ka jawab nahin mila.

    Jab main paida hua tou mujhe ye kaha gaya ke Pakistan hamara dushman mulq hai. Aur main ye bhi jaanta hun ke aap sabko bhi yahi bataya gaya hoga ke Hindustan aapka dushman mulq hai. Lekin aaj main poochhta hun ke kya Tulip aur Sikandar dushman hain? Kya Heman aur Shades dushman hain? Nahin hum eik hain kyunki hamari soch eik hai. Hum ye chahate hain ke Hindustan bhi aage badhe aur Pakistan bhi aage baddhe. Tulip ko bhi sukoon aur khushiyan miley aur Sikandar bhi khushhaal rahe. Shades aur Heman bhi eik doosre ki khushiyon ki tamanna karein. Aap ki dil Pakistan hain aur hamara Hindustan. Aur donon dil hi hamein pyare hain aur hamare liye queematee hai. Aur ye baat main daawe aur faqr ke saath kehta hun ke meri ye soch sirf eik sikandar ki soch nahin hai. Yahan ke zyadatar log ki soch yahee hai.

    Aaj har taraf maara maari hai. Koi aapko dehshatghard kehta hai aur koi hamein. Lekin kya hum sahi mein dehshatghard hain? Hum unn dehshatghardon ko nahin jaante jo hamare beech ki ghalatphamiyon ka fayda le ker, donon mulq ki masoomon ki jaan le rahe hain. Hum unehin nahin jaante. Haan dekhne mein tou hamari tarah hi insaan lagte hain. Lekin unki aakhon mein hamari taraf khushi aur masoomiya ki chamak nahin hoti. Unki aakhon mein eik soonpan hota hai vahashipan ka. Unke liye sabhi barabaar hai jinein woh maarna chahate hain.

    Kya ye waqt nahin hai, hum sabke liye ke hum iss Aman ke August, apne Aman ki Asha ko sahi tarah se apnee zindagi mein shamil karein. Hum sab eik doosre se sirf is net ke sahare nahin, balke sachhi zindagi mein milein. Main nahin haarne wala aur na meri soch haarne wali. Hum zaroor milenge InshAllah. Main Saira, Tulip, Endurer aur mere saare doston ke aankhon ki chamak aur chehre ki khushiyon ko abhi se mehsoos ker raha hun jab main unse miloonga aur mujhe poora yaqeen hain woh bhi aisa hi kuchh mehsoos kar rahe honge. Meri aankhon ki chamak aur mere chehre ki khushi ko unn aane wale lamhon ko sehjane ki khatir jab hum kabhi aap sab se mil ker kahenge Salam Doston. Main aapse hi milne aaya hun aur aapke liye ye chhoti si shaugaat le ker aaya hun - isse qubool kijye !

    Kya aap sab mera saath denge mere iss sapne ko poora kerne mein?

    Aakhir mein bas main yahin keh sakta hun - AAP SAB MUJHE BAHUT HI PYARE HO !!


    Chhodo kal ki baatein, kal ki baat purani, naye daur pe likhenge mil ker nayee kahani !!
    http://img442.imageshack.us/img442/4104/48148536hl8.jpg

    For those who are free,there is much to be grateful for May your home and your heart shine with the warm light of FREEDOM

  2. #2
    Kudos to you Sikandar!! Bohat khoobsurati soch hai aapki, main bus umeed kar sakti hun n baki log bhi ese sochne lagein aur is duniya se nafraten poori tarah khatam nai tou thori kam zaroor hojaen. Insaanon main se insaniyat nikal gayi hai, sab aaj kal aik doosre k khoon k pyasey hogaye hain. Sab ne yahan se jana tou khali haath hi hai phir ye tafawaten kyoon? pyar mohabbat se kyoon nai reh patey hum sab!

    Main aap jesi positive soch rakhne walon ko salam karti hoon aur Allah karey hum sab ki soch bhi esi hojae aik din. Aameen!

  3. #3
    Tulip - aapke iss jawab ne meri aankhon mein aansoo la diye. Diya se diya jalta hai na dost. Aur ab tou ye zimmedaari hamari hai ke hum apne aane waley nasl ko iss nafrat ki aag se door rakhein. Unhein balke achhi taleek ke sahare eik bahut hi qaabil insaan banayein jisse woh har jagah faqr se keh sakein ke Hum Pakistani hain ya fir hum Hindustani hain. Main aapko bhi Salam kerta hun Tulip ke aapne mujhe himmat dee iss raaste mein aage baddhne mein. Aur main apni taraf se koshish bhi ker raha hun. Mujhe poora bharosa hai Tulip ke eik din InshAllah sab theek ho jayega. Nafrat ki iss aag mein maine apnon ko raakh hote dekha hai jo masoom the aur jinhein iss duniya mein khushi se jeene ka haq tha. Lekin...........Khair fir kabhi..... Hum Sikandar hain Tulip... hum Jeet ker hi jaayenge iss duniya se.
    http://img442.imageshack.us/img442/4104/48148536hl8.jpg

    For those who are free,there is much to be grateful for May your home and your heart shine with the warm light of FREEDOM

  4. #4
    InshAllah zaroor =) Jis k khayalat buland hon ussey maat kese mill sakti hai.

  5. #5

  6. #6
    Thanks Coolshoib !! Pray for me that my dreams come true !!
    http://img442.imageshack.us/img442/4104/48148536hl8.jpg

    For those who are free,there is much to be grateful for May your home and your heart shine with the warm light of FREEDOM

  7. #7
    Quote Originally Posted by Tulip, post: 403838
    InshAllah zaroor =) Jis k khayalat buland hon ussey maat kese mill sakti hai.
    Meri himmat aur meri hausalon ki bulandee aap jaise doston se hai Tulip.
    http://img442.imageshack.us/img442/4104/48148536hl8.jpg

    For those who are free,there is much to be grateful for May your home and your heart shine with the warm light of FREEDOM

  8. #8
    Quote Originally Posted by sikandar107, post: 403853
    Thanks Coolshoib !! Pray for me that my dreams come true !!
    InshaAllah one day they will.

  9. #9

  10. #10
    haan ji kya baat hai lol.... lekin sabse badi baat tou tab hogi jab ye sapne sach honge.
    http://img442.imageshack.us/img442/4104/48148536hl8.jpg

    For those who are free,there is much to be grateful for May your home and your heart shine with the warm light of FREEDOM

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •