Apni dhun mein rehta hoon
Main bhi tere jaisa hoon
O pichli rut ke saathi
Ab ke baras main tanha hoon
Teri gali mein sara din
Dukh ke kanker chunta hoon
Mujh se aankh milaey kaun
Main tera aa`ina hoon
Mera diya jalaey kaun
Main tera khali kamrah hoon
Tere siwa mujhe pehne kaun
Main tere tan ka kapra hoon
Tu jeevan ki bhari gali
Main jungle ka rasta hoon
Aati rut mujhe roey gi
Jaati rut ke jhoonka hoon
Apni lehar hai apna roog
Darya hoon aur piyasa hoon

By Nasir Kazmi