Results 1 to 3 of 3

Thread: Meri Zindagi Tou Firaq hai

  1. #1
    Meri Zindagi To Firaq hai
    Woh Azal se Dil main Makeen sahi
    Woh Nigah-e-Shouq se door hain
    Rag-e-Jaan se Lakh Qareen sahi

    Hamain Jaan deni hai aik din
    woh kissi tarah woh kahain to sahi
    Hamain aap khenchiyeh Daar par
    jo nahi koi to hum hi sahi

    Sar-e-tour ho Sar-e-Hashr ho
    hamain Intizaar qabool hai
    Main unhi ka tha main unhi ka hon
    woh meray nahi to nahi sahi

    Jo ho faisla woh sunayeh
    Issay hashar par na uthayeh
    Jo karain gay aap sitam wahan
    woh abhi sahi woh yahin sahi

    Ussay dekhnay ki jo Lou lagi
    to Toheed Dekh hi lain gay hum
    Woh Hazar aankh se door ho
    woh Hazar Parda nasheen sahi


    Meri Zindagi To Firaq hai
    Woh Azal se Dil main Makeen sahi
    Woh Nigah-e-Shouq se door hain
    Rag-e-Jaan se Lakh Qareen sahi

  2. #2

  3. #3
    gudd :up;

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •