Results 1 to 4 of 4

Thread: Khuwab

  1. #1
    Jo meri aankhoN se khuaab dekho
    tou ik bhi shab na so sako gey
    keh laakh chaho na huns sako gey
    hazaar chaho na ro sako gey
    keh khuaab kya haiN, azaab haiN ye
    merey dukhoN ki kitaab haiN ye
    rafaqatteiN inn maiN choutteiN haiN
    mohabbetteiN inn maiN roothti haiN
    panapti haiN inn maiN wheshatteiN si
    aziyatteiN inn main phoutteiN haiN
    inhi kay dar se khizaaN haiN jazbey
    inhi se shaakheiN si tootti haiN
    ghamoN ki bandish haiN khuaab merey
    ubal raha hay dukhoN ka laava
    rehn-e-aatish haiN khuaab merey
    khayal saarey jhulas gaye haiN
    sulagti khuahish haiN khuaab merey
    ukhaRti saanseiN haiN zindigi ki
    lahoo ki sazish haiN khuaab merey
    jo meri aankhoN se khuaab dekho
    tou ik bhi shab na so sako gey

  2. #2

  3. #3

  4. #4

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •