“APNI ZAAT SAY ISHQ HAY SACHAA BAQI SUB AFSANAY HEIN”

“Love” kiya hay? kesey hota hay? kis say hota hay? kiyon hota hay? in sawalaat ka jawab mehaz “reasoning” k zariyay talash nahi kiya jaa saktaa, aur na kisi wazeyah nateejay par poncha jaa saktaa hay. Kiyon k har insaan k sochnay ka andaz, tajroobat, mooshahidaat, aur maahol aik doosrey say mookhtalif hota hay. mager iss ka yay mutlab hargiz nahi k kisi topic par sochnaa hi chorh dein. Ham aik doosrey k khayaalat aur mooshahidaat say bohat kuch seekh saktay hein.

Bayshak love “abstract” hay jissey siraf feel kiya jaa saktaa hay. mager hamein iss feeling say aagahi tabhi hoti hay jub yay feeling hamarey shaoor ki satah par aati hay. bayshak Khuda abstract hay aur nazar nahi aataa…mager uss ki mojoodgi ka ehsaas hamein kainaat k zahiri manazir say bhi utnaa hi hota hay jitnaa k apni inner feelings ko observe kar k hota hay. aur issi waja say Allah aur uss k Prophets nay bhi Allah ki mojoodgi ki nishaniyon ko sabot k tor par logically pesh kiya hay; jesa k Hadrat Abrahim(A.S.) nay namrood ko Khuda ki nishaniyan bataein…even Khuda ka ehsaas wo bhi rakhtay hein jo uss ka inkaar kartay hein.lekin kuch logon ka ehsaas aqli dalail say yaqeen mein badal saktaa hay so un k liyay realistic reasoning positive effect rakhti hay. aur insaan ka yaqeen pookhtaa tabhi hota hay jub dil aur zehan dono kisi baat par mooshtarka tor par mootafiq hon.

Yay aur baat hay k siraf zahiri reaction say kisi ki feeling ko samjhaa nahi jaa saktaa…kuch log Allah par yaqeen to rakhtay hein mager iqraar nahi kartay. issi tarah kuch log kisi say apnay dil mein bohat love mehsoos kartay hein mager uss ka izhaar properly nahi kar patay. Kabhi kabhi tao aesi cheap tadbeerein aur tareeqay ikhtiyar kartay hein k jis say love hota hay ussi ki nazron mein khud apna aur apnay love ka waqar kho detay hein. For example kuch logon k nazdeek love mein kamyaabi ki wahid soorat kisi ko hasil karnaa hoti hay. so wo kisi ko hasil karnay k liyay pehley dosti ko zariya banatay hein…phir piyaar ka izhar kar k kisi ko hasil karnay ki koshish kartay hein aur ager un ki tadbeer kamyaab ho jaey to kehtay hein: aesay hota hay “SACHA PIYAAR” kaash har koi aesay hi sachi dosti kar k sacha piyaar karay”…aur ager Khudanakhastaa kamyaab naa hon tao iss tarah k sheir unn k gham ki aqasi kartay hein:

Ek Baat Kehta Hoon Magar Kehne Se Darta Hoon
Kabhi Mohabbat Thi Tum Se Ab Nafrat Karta Hoon..!!

Kuch log kehtay hein “mohabbat tao aik lazawal jazbaa hay” mager kuch logon ko mohabat jitni jaldi har kisi say ho jati hay utni hi jaldi khatam bhi ho jati hay…
kuch log kehtay hein “mohabbat khud bakhud hoti hay” lekin pata nahi hamein siraf unn logon say kiyon mohabbat hoti hay jo hamein achay lagtay hein. Jo log achay nahi lagtay unn say khud bakhood mohabbat kiyon nahi feel hoti??? kainaat mein hazaron log hotay hein mager hum siraf unn ko kiyon choontay hein jo hamaray khabon ki tabeer hotay hein, jin say hamari zaat ki takmeel hoti hay…kiyon k hum siraf APNI zaat ki baqa chahtay hein, takmeel chahtay hein, kisi nay kiya khoob kaha hay k :
“APNI ZAAT SAY ISHQ HAY SACHAA BAQI SUB AFSANAY HEIN”….

Friends kiya aap ko nahi lagtaa k hum log apni zaroorat aur pasand ko hi Mohabbat ka naam dey detay hein. Jo personality ideal nazar aati hay uss ko hamesha k liyay hasil karnaa chahtay hein. jub tak koi achaa lagtaa hay hamein uss say mohabbat rehti hay phir wohi boora lagnay lagtaa hay tao nafrat honay lagti hay. kiyon k pasand badal sakti hay sachi Mohabbat kabhi nahi khatam hoti.

Phir Aakhir kiya hay mohabbat? kis say mohabbat karein? kesey karein? kiya karein kiya na karein?????

Siraf aik hi raastaa hay wohi sub say achaa aur mookamal hay “ISLAM”! kiyon k Haqooq-ul-ibaad ka jo charter islam nay diya hay iss nizam nay infaradi ikhtalafat rakhnay waley mookhtalif logon ko aik family k member bana kar inn mein bahmi mohabbat rakh dee hay…phir hamein aik millat banaya…phir aalamgeer satah par insaniyat ka jazbaa diya aur hamein aik Aadam ki olad qarar diya. aur phir Taqwaa ko pehchan ki kasoti bana diya aur amaal ka daromadar niyaton ko qarar diya. islam insaan ki mohabbat par pabandi nahi lagata bas jazbaat ko aik positive rookh mein behna sikhaata hay. siraf haqooq nahi deta hamein hamaray faraiz bhi batata hay. aik janwar jesey chahay apni khahish ki takmeel karta hay mager insaan ko islam nay SABER ki talqeen ki hay. siraf duniya nahi akhirat ki kamyabi ka tasawoor diya hay.

Shehar ke dukaandaro, karobaar-e-Ulfat main…..
Sood kiya, Ziyaan kya hay, tum na jaan paao gay!

Afsos! hamara yay haal hay k hum islam ki taleemat ko bhoola kar mohabbat mein duniyawi kamyabi k unrealistic filmi tareeqay ikhtiyaar kartay hein…jesey wrong call k bahanay jhoot bol kar baat karna, net friendship karna, kisi ki soch k mootabiq baat kar k attract karnay ki koshish, kisi ko apni taraf matwaja karnay k liyay nit naey but cheap fashion aur andaaz apnana, algharz andhaa dhun taqleed na siraf hamari shakhsi aur infaradi pehchan aur waqar ko khatam kar deti hein balkay hamari mohabbat ki sachai ko bhi manind karti hein.

Algharaz Mohabbat aik muqadas aur pakeeza jazba hay mager mohabbat mein jaiz aur najaiz tareeqon ka ghalat istamal mohabbat k waqar aur qudrati kashish ko khatam kar deta hay. Hamein mohabbat k “sensible” aur “levelheaded” tareeqay ko apnana chahiyay.

Khud apni zaat aseer-e-azaab rakhtay hein
Hamaray ehad k insaan khaab rakhtay hein
Yay taajraan-e-mohabbat bhi khushgooman hein bohat
Gunah kar k umeed-e-sawaab rakhtay hein