Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast
Results 11 to 20 of 24

Thread: My Master Pieces (New POEMS Added)

  1. #11
    Re: My Master Pieces

    Aaj phir shidat-e-talb se woh yaad aayi hai
    Jaise koi bhooli daastan phir yaad aayi hai

    Yeh hijr ki raat aur meri tanhaiyan
    Apne milan ki koi baat yaad aayi hai

    Chohdhveen ka chand sitaron ki chamak
    Tere chehre ki woh ronq yaad aayi hai

    Aankhon main mojazan hai khoon ka darya
    Apne bicharne ki woh ghari yaad aayi hai
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  2. #12

  3. #13
    Thnx a Million WAFFA. These are my oldies.
    I will be posting new ones SOON
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  4. #14
    bohat khoob zohaib new walli kab aa rahi haein

  5. #15
    Re: My Master Pieces

    Here are the Updates

    Buhat tanha hai yeh zindagi
    Paas mere tum aajao

    Yaad karta hoon tum ko har pal
    Yeh doori mitane tum aajao

    Ik ik pal guzarta hai sadi ki tarha
    Yeh mushkil sahal karne tum aajao

    Kami hai tumhari zindagi ke safar main
    Yeh khala pur karne tum aajao

    Tumhara hi basera hai mere khabon main
    Haqeqat main rung bharne tum aajao

    Nahin hai himmat izhar-e-mohabbat ki
    Mere hal-e-dil poochne tum aajao
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  6. #16

  7. #17
    Re: My Master Pieces

    More Updates Here

    Rona chahta hoon, per ro bhi nahin sakta
    Samjhain ge log shayad main kamzor buhat hoon

    Toot chuka hoon under se kami hai tumhari
    Aake bas keh do itna "Sahara tum ko de doon"

    Nahin hai koi hamdard koi raqeeb na koi dost
    Aajao jo mere paas, apna dil khol doon

    Itne jo gham mile mujhe is kathin jeevan main
    Koi to ho jis se haal-e-dil bayan karoon

    Poochta hi nahin koi mujh se mera haal
    aajao jo mere paas jee bhar baatain tum se karloon

    Thak gaya hoon akela chal hal kar rah-e-zindagi par
    Ban jao mere hamsafar yeh thakavat dooe kar loon

    Aur Mushaqatain hain baqi is safr-e-na tamam main
    Jo do tum mera saath dniya se lar jaoon
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  8. #18
    Re: My Master Pieces

    Aisee ab ulfat kahan se laoon
    Apna woh bhoola pyar kahan se laoon

    Woh to shayad ab mera hai bhi nahin
    Us ki woh madfan yaadain kahan se laoon

    Kahin koi bhoola geet hoga shayad
    Use dhoondne ki himmat kahan se laoon

    Itna jo toot ke chaha hain maine
    Ab tujhe bhulane ka Hosla kahan se laoon
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  9. #19
    Re: My Master Pieces

    Mar mar ke jee raha hoon
    Kia faida aisee zindagi ka
    Main to yahan, tu hai kahan
    Mil hi jaega tu kabhi
    Yehi Soch ke zinda hoon main
    Ke tu hai to hai sahara zindagi ka
    Ab to kate gi yeh zindagi teri yaad main
    Hai aur kiya maqsad meri zindagi ka
    Kat gaye ko itne din
    Aur bhi kat jaenge
    Kule jo dar zindagi ka
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  10. #20
    Re: My Master Pieces (Updated)

    This is an Experiment by me, I hope you will like it :

    Saat saal se dekhta hoon drama khatam hi nahin hota
    Kehte hain log, "Kiyoun Ki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi"

    Hoti hai ab to mere ghar main bhi mahaz aarai
    Meri nahin yeh hai, "Kahani Ghar Ghar Ki"

    Kehta hai beta mera pukaro muhe Soojal, Kashish jo achi lagti hai
    Beti hai Kum Kum, Bahu meri Tulsi bani phirti hai

    Choti meri kehti hai, "Woh Rehne Wahi Mehlon Ki"
    Ab to bindiya aur sindoor ki demand karti hai

    Pagal kardia hai in dramon ne muh ko, sochta hoon T.V. tor doon
    Per chor deta hoon ke lana parega mujhi ko
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •