Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 21 to 24 of 24

Thread: My Master Pieces (New POEMS Added)

  1. #21
    Re: My Master Pieces (Updated)

    Bewafai itni to maine nahin ki
    Jis ki is qadar saza hai mili

    Kuch dosh hai mera mana maine
    Kuch qusoor hai uska is se bhi inkaar nahin

    Mana ke main tarpa hoon us ki yaad main
    Per kuch kami mohabbat main to nahin ki

    Shola-e-ulfat kuch hain wahan bhi
    Yeh meri mohabbat ik tarfa to nahin

    Ab to sochta hoon kar daloon pehal
    Pyar main to chota bada nahin koi
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  2. #22
    Tera hijab jo hata hua kia haal hai mera
    Ruk sa gaya hai yeh safar
    Tham see gayi hai zindagi
    Havaon ne aakar yeh mujh se kaha hai
    Buhat haseen hai tera sanam
    Aate jaate logon to pata bhi nahin
    Tu kaun hai yeh jante bhi nahin
    Hota jo kuch mere bas main agar
    Bicha deta phool teri rahon main main
    Teri ik jhalak ka hai itna asar
    Gar mil jae tu mujh ko kia kar jaoon main
    Main jaanta khud nahin
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  3. #23
    Ik aas hai dabi dabi, ik pyaas halki halki
    Pyar ka bhooka hoon main, hua hai ehsaas abhi abhi

    Bachpan se hasraton ka gala ghont raha hoon
    Koi to ho jae poori ab is umer main

    Barson tarpa ke mil jae koi pyar karne wala
    Ab to saya bhi apna, saath chor raha hai

    Kahan jaoon, main kis se karoon faryad
    Apna to rafeeq-o-ghum gusaar nahin koi

    Mudaton se hai intezar ik ajnabi ki aamad ka
    Is sheher amin ab to koi aata jaata nahin

    Karen kia hai yeh gham-e-muaash hamain
    Jeena nahin deta mot bhi magar nahin aati

    Faraar ho kaise mumkin ab is qaid khane se
    Malik-ul-mot hai zamin koi doosra nahin

    Sirf is per nahin bas hain aur imtihan aage
    Qabar bhi hai qaid khana koi gulistan nahin
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  4. #24
    Zulm hum yun hi sehte rahen ge
    Zubaan se ab aur na hum kuch kahen ge

    Is bazm-e-jan-o-tan main, ta dam-e-waqt-e-marg
    Pyar ke is deepak ko hum khoon se roshan karte rahen ge

    Chahe na de koi saath mera, saaya bhi moonh mor le
    Apni qasam ko hum to bas yun hi nibhate jaenge

    Yeh waqt-e-tishnagi hi sahi, meri ulfat ka imtihaan hi sahi
    Saboot-e-mohabbat hum to yun hi duniy ko dikhate rahen ge

    Ho gaye gar khatam aansoo, in aankhon main to
    Lahoo ko ashk jan kar hum nainon se apne bahate rahen ge
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •