Bhalay Dinoo KI Baat Hai Bhaly Si Ek Shakal Thi
Na Yeh Ke Husn Naam Ho Na Dekhnay Main Aam Si
Jab Chalay Toh Kahkashaan Si Rah Guzar Lagay
Woh Saath Ho Toh Bhala Bhala Safar Lagay
Koi Bhi Rut Ho Uski Chab Fiza Ka Rang-O-Roop Thi
Woh Garmiyoon ki Chayoo Thi Woh Sardiyoon Ki Dhoop Thi
Na Ikhtilaat Main Woh Rum Ke Bud Maza Hoon Khuwahishain
Na Is Qadar Supoordigi Ke Zich Karain Nawazishain
Na Aashqi Junoon Ki Ke Zindagy Azaab Ho
Na Iss Qadar Kathoor Pan Keh Dosty Kharab Ho
Kabhi To Baat Bhi Khuffi Kabhi Sakoot Bhi Sukhan
Kabhi To Kushtay Zaafraan Kabhi Udaasioon Ka Bun
Na Aisi Khush Libaasiyaan Keh Saadgi Gila Karay
Na Itni Bay Takallufi Ke Ayena Haya Karay
So Aik Roz Kiya Hoowa Wafa Pe Bahas Chird Gayi
Main Ishq Ko Amar Kahoo Wo Mery Zid Se Chird Gayi
Main Ishq Ka Aseer Tha Woh Ishq Ko Qafas Kahai
Umer Bhar Ke Saath Ko Bud Tur Hawas Kahai
Main Koi Painting Nahi Ke Frame Mian Rahoo
Wahi Jo Man Ka Meet Ho Ussi Ke Prem Main Rahoo
Tumhary Soch Jo Bhi Ho Main Iss Mizaaj Ki Nahi
Mujhe Wafa Se Bair Hai Yeh Baat Aaj Ki Nahi
Na Usko Mujh Pe Maan Tha Na Mujhko Us Pe Zoam Hi
Jab Ahed Hi Koi Na Ho To Kia Gham-E-Shikastagi
So Apna Apna Raasta Hassi Khushi Badal Dia
Wo Apni Rah Chal Pari Main Apni Rah Chal Dia
Bhali Si Uski Dosty Ab Bhi Yaad Rahty Hai
Raat Din Nahi Mager Kabhi Kabhi............