Kissi Ki Aankh Se Sapne Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mundairoo Se Chiraaghoo Ko Bujha Ker Kuch Nahi Milta
Humary Soch Ki Parwaaz Ko Rokay Nahi Koi
Naye Aflaak Pe Pehray Bitha Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Aadh Sapna To Phir Acha Bhi Lagta Hai
Hazaroon Khuwab Aankhoo Main Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoo Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Jaa Ker Bhi
Jinhain Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Usse Kehna Ke Palkoo Pe Na Tankay Khuwaab Ki Jhaaler
Samander Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharum Na Tootnay Payain
Kabhi Bhi Dostoon Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Najanay Konse Jazboon Ki Yun Taskeen Kerta Hoo
Bazahir To Tumhare Khat Jala Ker Kuch Nahi Milta
Faqat Tumhi Se Kerta Hoon Main Saary Raaz Ki Batayn
Har Ik Ko Dastanay Dil Suna Ker Kuch Nahi Milta
Amal Ki Sokhty Rag Main Zara Sa Khoon Shamil Ker
Mere Hamdam Faqat Batayn Bana Ker Kuch Nahi Milta
Usse Main Pyaar Kerta Hoon To Mujhko Chain Ata Hai
Woh Kehta Hai Usse Mujhko Sata Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaaroo Se Yahi Awaz Aaty Hai
Kissi Ke Hijer Main Neendayn Gawa Ker Kuch Nahi Milta
Jiger Hojaye Ga Chalni Yeh Aankhain Khoon Royain Gy
Wassi Be Faiz Logoo Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta