Tujh Se Milker To Yeh Lagta Hai Ke Aie Ajnabi DOST
Tu Meri Pehli Mohabbat Thi Mery Aakhri DOST
Log Her Baat Ka Afsana Bana Detay Hain
Yeh To Duniyaa Hai Mery Jaan, Kayi Dushman Kayi DOST
Tery Qamat Se Bhi Lipty Hai Amer Bail Koi
Mery Chahat Ko Bhi Duniyaa ki Nazar Khaa Gayi DOST
Yaad Ayi Hai To Phir Toot Ke Yaad Ayi Hai
Koi Guzri Hoowi Manzil Koi Bhooli Hoowi DOST
Ab Bhi Aye Ho To Ehsaan Tumhara Lakin
Voh Qayamat Jo Guzarni Thy Guzar Bhi Gayi DOST
Tere Lahjay Ki Thakan Main Tera Dil Shaamil Hai
Aisa Lagta Hai Judayi Ki Ghari Agayi DOST
Baarish-E- Sang Ka Mousam Hai Mere Shahar Main To
Tu Yeh Sheeshay Sa Badan Leker Kahaan A Gayi DOST
Main Usse Eh-day Shikan Kaise Samajh Loon Jisne
Aakhri Khat Main Likha Tha Faqat Apki DOST