[glow=red:7d925b33df]Zikray Shab-E-Firaq Se Wehshat Usse Bhi Thi
Mery Tarhaan Kissi Se Mohabbat Usse Bhi Thi
Mujhko Bhi Shouq Tha Naye Chehroo ki Deed Ka
Rasta Badalne Ki Jo Adat Usse Bhi Thi
Uss Raat Dair Taq Raha Voh Meh-vay Guftagoo
Masroof Main Bhi Kam Tha Faraghat Usse Bhi Thi
Mujh Se Bicherd Ke Shehar Bhar Main Ghul Mill Gaya Voh Shakz
Halaan Ke Shehar Bhar Se Adawat Usse Bhi Thi
Sunta Tha Woh Bhi Sabse Purani Kahaniyaan
Shayed Rafaqatoon Ki Zaroorat Usse Bhi Thi
Tanhaa Hoowa Safar Main To Mujh Per Khula Yeh Bhaid
Saye Se Pyaar Dhoop Se Nafrat Usse Bhi Thi
Mohsin Main Uss Se Keh na Saka Yun Bhi Haal-e-Dil
Darpaish Ek Taza Masiat Usse Bhi Thi[/glow:7d925b33df]