Jo hum kuch kahen to bura unhain lagta hai
Hum tareef bhi Karen to giraan guzarta hai

Ho ab kiya tadbeer ibtida-e-guftagoo ki
Sar-e-mehfil naam lena gunah humain lagta hai

Kuch who bhi to junbish labon ko dain
Yun un ka khamosh rehna kuch na kuch kehta hai

Per samajh nahin aati yeh un ki boli hum ko
Her waqt gum sum rehna hum ko nahin aata hai

Isharon kinayon main kuch to jawab dije
Yun intezaar karna hum ko nahin aata hai

Khudara kuch to boliye, yun zulm na ki jiye
Warna hassan yahan se phir chala jata hai