Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 12

Thread: The Best of Bollywood Shayari !

  1. #1
    Dilwale Dulhania Le Jayenge (1995)

    Aisa pehli baar hua hai satrah athrah saalon mein
    Undekha anjaana koi aane laga hai khayalon mein
    Aankhon ki khidki par ek saya sa lehrata hai
    Dil ke darwaze par koi dastak de ke jaata hai
    Gheri gheri kaali aankhen mujhse mujhko poochti hai
    Haaton ki rekhaon mein ek chehra sa ban jata hai
    Uski saanse resham jaisi gaalo ko chu jaati hai
    Uske haaton ki khushboo hai ab tak mere balon mein
    Haan, aisa pehli baar hua hai satrah athrah saalon mein
    Undekha anjaana koi aane laga hai khayalon mein

    Har Dil Jo Pyar Karega
    Pooja (Rani Mukherjee) writes for Raj (Salman Khan)

    Kaal thak jo ajnabee tha

    Dil aaj ussi ko chahta hai

    Zindagi dene wale tujhpe

    Marjaane ko jee chahta hai


    Kabhi Kabhi

    Popular 'Life' poem from movie "Kabhi Kabhie". Describes Amit's (Amitabh Bacchan) life disappointment because he must be separated from Pooja (Rakhee Gulzar), his girl friend who has promised to setup a life with him.


    Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
    Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
    To sadab ho bhi sakti thi
    Yeh ranjho gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
    Teri nazar ki suahon main kho bhi sakti thi
    Magar yeh ho na saka,
    Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
    Ki tu nahin, tera gham, teri joostjoo bhi nahin
    Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise, isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin
    Na koi raah, na manzil, na roshni ka suragh
    Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri
    Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
    Main janta hoo meri hum-nafas, magar yoonhi
    Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

    Mann
    Dev Karan Singh (Aamir Khan) - film "Mann"

    Poem 1:

    Tujhko dekhenge sitare to Zia maange ge

    Aur Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge

    Apne kande se dupatta na sarakne dena

    Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge

    Poem 2:
    Husn ko chand, jawani ko kamal kehte hain

    Dekh kar hum tujhe ek zhooh ghazal kehte hain

    Uff yeh sangeh marmar sa tarasa hua saffaaf badan

    Dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hain


    Tum Bin

    Tum Bin Jiya Jaaye Kaise, Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
    Sadiyon Si Lambi Hai Raaten, Sadiyon Se Lambi Huv Din
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Phir Shaame Tanhaye Jaagi
    Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
    Phir Jaan Nikal Ne Lagi Hai
    Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Kya Kya Na Soocha Hai Maine
    Kya Kya Na Sapne Sajaye
    Kya Kya Na Chaaha Hai Dil Ne
    Kya Kya Na Armaan Jagaaye
    Is Dil Se Toofan Guzarte Hai
    Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Tum Bin Jiya Jaaye Kaise, Kaise Jiya Jaaye Tum Bin

  2. #2
    kabhi kabhi and tum bin numbers are my all time fav :up;

  3. #3

  4. #4
    Mere aankho main aanso teray aa gaye muskuranay lagay saray ghaaaamm...!! :up; great one

  5. #5
    Tum Bin

    Tum Bin Jiya Jaaye Kaise, Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
    Sadiyon Si Lambi Hai Raaten, Sadiyon Se Lambi Huv Din
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Phir Shaame Tanhaye Jaagi
    Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
    Phir Jaan Nikal Ne Lagi Hai
    Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Kya Kya Na Soocha Hai Maine
    Kya Kya Na Sapne Sajaye
    Kya Kya Na Chaaha Hai Dil Ne
    Kya Kya Na Armaan Jagaaye
    Is Dil Se Toofan Guzarte Hai
    Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Aaa Jao Laut Kar Tum Yeh Dil Keh Raha Hai
    Tum Bin Jiya Jaaye Kaise, Kaise Jiya Jaaye Tum Bin

    Very nice
    Thanx for sharing

  6. #6
    Good effort

    :applaud;
    Nobody gives you IDENTITY, ...... You will have to make your OWN

  7. #7

  8. #8

  9. #9
    nice effort bohat achi simi keep it up

  10. #10
    Very Nice Yaar Simi

    Gooooooooood :up;

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •