Page 1 of 13 12311 ... LastLast
Results 1 to 10 of 122

Thread: shyaries n poem contast send as many u can n hav fun .................. for april n may

  1. #1
    here it go catch me..........

    Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay
    Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay

    Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat
    Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay

    Jo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay
    Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay

    Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say
    koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay

    Jo waqt guzar jayee tho wapis nahi aata
    Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay

    -um us kee justajoo main hua khud say be-ganay
    Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  2. #2
    Kash Ab Key Aisa Ho
    Tumam Ki Tumam Zindgia
    Un Key Guzarney Walloo Ko........Supurd kar Dii Jaye
    BeyBasi Ko qaid Kar Key
    Tumam ki Tumam......Zakhmi Arzoowo Ko
    Un Key Khoo howey Khowb....Lota Diye Jaye
    Kash Kabhi Aisa Ho Jaye
    Admi Ka Insan PAr Ahsaan Ho Jaye
    Key Admi Insan Ho Jaye
    Mohabat Say Arasta Yea Jahan Ho Jaye
    Kash Insaan......Zee Hosh Ho Jayen
    Kam Yea Dosh Ho Jaye
    Mohabtain Beyloss Ho Jaye
    Zarortain Asool Na Rahy
    Kash..................Ab Key Aisa Hoo
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  3. #3
    aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
    kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

    daam har mauj mein hai halqaa-e-sadkaam-e-nahang
    dekhein kyaa guzre hai qatre pe gauhar hone tak
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  4. #4
    aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
    dil kaa kyaa rang karuun khuun-e-jigar hone tak
    [sabr-talab=patient]

    ham ne maanaa ke taghaaful na
    karoge lekin
    khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hone tak
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  5. #5
    partav-e-khuur se hai shabnam ko fanaa kii taaliim
    main bhii
    huun ek inaayat kii nazar hone tak
    [partav-e-khuur = sun's rays; shabnam=dew]
    [fanaa = perish; inaayat = favour]

    yaknazar besh nahiin fursat-e-hastii ghaafil
    garmii-e-bazm hai
    ik raqs-e-sharar hone tak
    [besh = excess; ghaafil = ignorant]
    [raqs = dance; sharar = flash/fire]
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  6. #6
    gham-e-hastii kaa kis se ho juz marg ilaaj
    shammaa har rang mein jaltii hai sahar hone tak
    [juz = other than; marg = death]
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  7. #7
    Re: shyaries n poem contast send as many u can n hav fun ..................

    Amaa Coolguyskumar

    Pehle do ghazal to original lage :applaud;

    aap bhi Chacha Ghalib Ke sher maar ne lage
    main ne bhi to ek Post Chacha Ghalib Ko dedicate kiya hai
    ek nazar kijiye to sahi.

    Dile Nadan Tujhe Huwa Kya Hai
    Aakhir iss dard ki dawa kya hai
    http://img69.imageshack.us/img69/46/micky3to.gif

    " Saqt Raahoon mein bhi Aasaan safar Lagta Hai,
    Ye meri maa ki duwaaoon ka asar Lagta Hai." [/url]

  8. #8
    kabhi tu mera Bhi khwab pura ho ga
    Kabhi tu mujhey bhi lakhoon piyaar karney waley ho gey
    --------------------------------------------------------

    yeh khwab na mumkin hi sahe
    per dil main ek umeed hai yeh khwab kabhi tu pura ho ga
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Jo Ajj plat kar bhi nahi dhekti
    Kabhi tu wo bhi mujhey dhekey gi
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    jo mujh se baat karna bhi pasand nahi karti
    kabhi tu wo bhi mujh se baat karey gi
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Jo mujh se nafrat kartee hai
    kabhi tu wo bhi mujh se piyaar karey gi
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Jo majh per barosa nehi kartee
    Kabhi tu wo bhi mujh per barosa karey gi
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Jo mujhey gareeb samjh kar thokra gae
    Kabhi tu wo bhi mujhey dobra apnaye gi
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    dil kehta hai
    kabhi tu mere khwab pura ho ga
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Ab To dil toot sa gaya hai
    ab to lagta hai hum ko marney key baad kafan bhi naseeb na ho ga
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Socha na tha
    mujhey Itni nafrat karney waley log ho gien
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Yaqeen hi nehi aata
    mujhey hazro log baduawah deney waley ho gien
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Jo socha bhi na tha
    wo gunnah ho gia
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    mujh jase gunnah gar ko bhi
    kabhi tu khushiya naseeb ho gien
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    jo naraz ho gie
    kabhi to wo apni narazgi khatam karey gi
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Jo mujhey Chor gie tanha
    kabhi to wo lot kar aye gi
    --------------------------------------------------------

    --------------------------------------------------------
    Aey dost "Kami" Itna bura nahi hai
    bus tum "Kami" ko samajh na saki ho gi
    --------------------------------------------------------
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  9. #9
    badan mein aag sii chehraa gulaab jaisaaa hai

    ke zahar-e-gham kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai

    kahaan vo qurb ke ab to ye haal hai jaise

    tere firaaq kaa aalam bhii khvaab jaisaa hai

    magar kabhii koii dekhe koii padhe to sahii

    dil aaiinaa hai to chehraa kitaab jaisaa hai

    vo saamne hai magar tishnagii nahiin jaatii

    ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai
    [tishnagii=thirst, saraab=illusion/mirage ]

    'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahii
    hamein aziiz hai khaanaakharaab jaisaa hai
    Love me the most when I deserve it the least, that's When I need it the most.

  10. #10
    Re: shyaries n poem contast send as many u can n hav fun ..................

    :givefl;

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •