Results 1 to 8 of 8

Thread: Kadar-o-keemat!

  1. #1
    Aik dafa Aik lakarhaara , apney gadhey par lakriyaa'n ladey jungle se guzar raha tha. Achanak uss ki nazar aik LAAL (Ruby) pat pari. Uss ne ussey aik aam sa pathar samajh kar apney gadhey ke galey mein baandh diya.
    Jab wo lakriyaa'n bechney shehar pohancha to aik Johari ki LAAL par nazar pari to uss ne Lakarhaarey se ussey khareedna chaha , Johari ne Lakarhaarey se uss LAAL ki qeemat maangi to lakarhaarey ne jawab diya,
    "Main iss ka poora Aik Ropya loo'n ga , iss se aik paisa bhi kam nahi ho ga"

    yeh sun ka Johari ne kaha ,
    "Main tumhein iss ke 50 paise de sakta hoo'n iss se zayada nahi"


    Johari ke munh se yeh Nikalna tha ke LAAL phat para aur chikna choor ho ke Zameen par gir gaya. yeh dekh kar johari ne LAAL se kaha
    "Gadhey ke galey mein lataktey rehney se tujhey kuch na hua aur jaise hi main ne qeemat lagayi , tujhey ghairat aa gayi"

    yeh sun ka LAAL ne jawab diya, "Lakarhaara meri Qadar-o-Qeemat se waqif nahi tha ,iss liye aik gadhey ki gardan mein bhi main khush tha , magar Tu to meri qeemat jaanta tha , teri lagayi hui qeemat mujh se bardaasht na ho saki"

  2. #2
    "Good judgment comes from experience, and experience comes from bad judgment "
    :applaud Lollllzzzzzzzzzzzz....Isi Baat per .... :applaud
    mazbani ka hai yeh takaza
    ke mehman aye tu muskurado
    magar tabiyat yeh chahti hai
    ke galey milo aur gala hi daba do

  3. #3
    wah wah ASH what a gr8 story

  4. #4
    @hunain.. really?

    @naresh..Thanks :giveflower;

  5. #5
    Very nice sharing
    Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
    Mein Aksar Tumhein Yaad Ati Rahongi
    Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
    Mein Neendein Tumhari Churati Rahongi

  6. #6
    thanks sobia :hug;

  7. #7
    sabaq ameez,

    Thanks for sharing
    hey [username:48beee4c6e], i know whats on your mind

  8. #8
    yup..and u r welcome

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •