CheeseCake
Ingredients:-

strawberries---------------cuti hui (thori si)

Base:-
  1. biscuit crumbs-------1 cup
  2. butter (melted)------3tbs
  3. sugar---------------1 tbs
Cheese:-
  1. philadelphia cream cheese------200g
  2. sugar-------------------------3/4 cup
  3. orange juice------------------3-5 tbs
Method:-
crumbs mey butter or sugar add ker leiN, iss ko pan mey daal ker 3-4 min. key liye fry kareiN ab aik plate mey daal ker press ker dein iss tarhaN key cake ki base ban jayé aur ab iss ko freeze mey rakh deiN

cheese mey sugar aur juice add karein, beat ker lein achi tarhaN wo thori fluffy ho jayé gi ab aap crumbs nikaleiN freezer sey aur iss per cheese daal deiN layer by layer aur uper sey strawberries daal deiN.
cheesecake tayyar hai


-------------------------------------------

Baked Pasta

Ingridients:-
  1. pasta
  2. water
  3. cheese(mozzarella, ya phir jo bhi available ho ghar pey)
  4. salsa (ya phir aap tomato paste khud bana leiN, tamator ko blender mey ker key uss ko aik preheated pan mey daal dein aur iss mey apni marzi key spices daal dein, like red chilli, namak, kali mirch,safaid mirch,etc
Method:-
pasta ko boil ker lein aur sath mey oven bhi on ker lein, ab boiled pasta ko aik oven waley bartan mey daleiN aur uper sey tomato sauce/paste daal dein ...phir cheese daal ker bas 5-10 min tak aap issey oven mey rakheiN,
baked pasta tayyar hai

kabhi mey ye bhi kerti hun key Alu key katley bhi fry ker leyti hun jab tak pasta boil hota hai aur phir aik layer alu ki lagti hai aur aik pasta ki phir uper sey tomato paste aur phir akhir mey cheese ...iss key baad issey oven m ey 5-10 min. key liye rakh deyti hun...

-----------------------

Suji ki kheer

Ingridients:-
  1. suji--------------aik cup
  2. sugar------------half cup
  3. milk--------------1-litre
  4. dry fruit----------for decoration
Method:-

suji ko aik pan mey iss waqt tak bhooneiN jab tak uss ki aik payari si khushboo na aa jaye lol...iss key baad aap iss mey doodh dalteiN aur doodh add kertey huye chamch chalatey jayeiN, ab iss mey aap cheeni add ker lein phir sey aik chamach chala dein aur bas iss ko aik do boil deyney key baad...kheer tayyar hai

iss ko aap chaheiN to garam bhi serve ker saktey hein, aik bowl mey nikal ker iss key uper dry fruits daal deiN (jo bhi aap key ghar mey hein) aur mazzey sey khayeiN