Results 1 to 6 of 6

Thread: Kisi khush nigah si ankh ne .....

  1. #1
    Kisi khush nigah si ankh ne yeh kamal mujh pe karam kiya
    meri loh-e-jaan pe raqam kiya
    woh jo aik chand sa harf tha woh jo aik sham sa nam tha
    woh jo aik phool si bat phirti thi darbadar
    usse gulsitan ka pata diya
    mera dil ke shehar-e-malal tha usse roshni mein basa diya
    meri ankh aur mere khawab ko kisi aik pal mein beham kiya-
    mere aeenon pe jo gard thi meh-o-saal ki
    woh utar gaee
    woh jo dhund thi mere char soo woh bikhar gae
    sabhi roop aks-e-jamal ke
    sabhi khawab sham-e-wisaal ke
    jo ghubar-e-waqt mein sar basar thay atay hue
    woh chamak uthe
    woh jo phool rah ki dhool thay, woh mehak uthe,
    liye sat rang bahar ke
    chala mein jo sang bahar ke!
    to saja diye sabhi raste,
    kisi dast-e-shoabda saz ne
    mere nam par, mere wastay,
    meri beghari ko panah di, meri justujoo ko nishan diya
    jo yaqeen se bhi haseen hai mujhe aik aisa guman diya
    woh jo reza reza wujood tha
    usse aik nazar mein baham kiya
    kisi khush nigah si ankh ne
    yeh kamal mujh pe karam kiya!!

    AMJAD ISLAM AMJAD

  2. #2

  3. #3

  4. #4

  5. #5
    aap ne achi poem select ki hai...v.nice...keep sharing.



  6. #6
    gud one.. keep it up :thumbs:

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •