Main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras kar tham jaati hai

Main khawab nahi
Jisey dekha aur bhula diya

Main shama nahi
Jisey phoonka aur bujha diya

Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya

Main chand bhi nahi
Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh ehsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban kar gardish kare

Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay

Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na ho ga

Khawab, Ibaarat, hawa ki tarah
Chand, boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahi
Kyunkay MAIN TOU MOHABBAT HOON
Aur Mohabbat Ko Zawaal Nahi