Results 1 to 7 of 7

Thread: Aik Faarsi Nazm (a persian poem)

  1. #1
    ESHQ E GUMMAN

    CHEH NVESHTAM MAN BOO E GULISTAAN
    KEH TO HASTI YAAR E BOOISTAAN
    HASTI YAARAM TO, DILDAAR E MAN
    WAQTI NA NADEEMAM HAMEH JAHAN

    ROOHI HAST ROH E MAN, JANAM
    DEL E TO HAST DEL E MAN, YAARAM
    HASTAM MAN SHAAD KEH TO YAAR E MAN
    TO ESHQAM, MEYLAM, TO DILDAARAM

    KHEYLI NA RAHAT CHIRAAGH E DOOD
    SHAAD TO WAQTI AATISH BOOD
    UOO AATISH E GETI HASTI, UOO
    QURBAAN E ESHQAM, AATISH E UOOD

    TO CHERAAGH E ESHQ E MAN HAST
    TO AHLE E GETI GUMMAN E PASHT
    TO PEER E SAD SAAL HAST
    EIN ESHQ E MAN GUMAAN HAST

    (Shahzaib Khan)

    yeh nazm mene faarsi mein likhi. is ka tarjumaa yeh hae, (is ko nasr kiya hua hae):
    mein kiya likhoon (aae) gulistaan ki koshboo. keh tum (to khod) gulistaan ke yaar ho. tum mere yaar ho (aae) dildaar mere. jab sab jahan (mein se) mera (koi) dost nahin. teri rooh meri rooh hae (aae) jaan meri. tera dil mera dil hae (aae) yaar mere. mein khosh hoon keh tu mera yaar(hae). to mera eshq, meri aarzoo, mera dildaar hae. bahut ghamgin ho (aae) dhoone wale charaagh (ya'ni bhujhe hue chraagh). tum khosh the jab (tum per) aag thi (ya'ni jab tum jalte the). woh dunyaa ki aag hae, woh. shahid (ya'han is se sada zinda muraad hae) mere eshq ki, koshboodaar lakri ki aag (hae). [is ki tashri'h ki gayi hae baad az akhri band ke trujuma] tum mere eshq ka chraagh ho. tum (mere) pichle khyaaloon ki dunyaa ke ahl (ho). tum soo saal purane ho. yeh eshq mera (aik) gumman hae.
    UOO AATISH E GETI HASTI, UOO
    QURBAAN E ESHQAM, AATISH E UOOD
    IS SHER MEIN SHAYER (MENE) YEH ARZ KIYA HAE KEH AAE BUJHE HUE CHRAAGH WOH YA'NI MERA MEHBOOB, DUNYA KI AAG HAE, JIS SE MURAAD KEH WOH SAB KI AARZOO HAE, SAB KA TALATUM US SE HAE AUR WOH MERE ESHQ MEIN SHAHID, YA'NI HAMESHA ZINDA WOH JALTI HWI KHOSHBOODAAR LAKRI KI AAG HAE JIS SE US LAKRI KI KHOSHBOO SAARI DUNYAA MEIN PHEL GAYI, YAHAN WOH KHOSHBOODAAR LAKRI SE MURAAD MERA DIL HAE AUR US KI KHOSHBOO MERI RUSWAI HAE.
    AKHIR MEIN IS NAZM KE BARE MEIN KUCH ALFAAZ:
    ES NAM KI EBTIDA MEIN MENE YEH ARZ KIYA HAE KEH AE CHAMAN KI KHOSHBOO MEIN TERE KIYA QASEEDE LIKHON KEH TUM TO KHOD CHAMAN KI HAR CHEZ SE WABASTA HO. TU MERA MEHBOOB HAE, JAB POORA JAHAN MUJH SE KHFA HAE KEH MEIN KYOON THUJH SE ESHQ KARTA HOON. TUM HARI ROOH MUJH MEIN SULGA GAYI HAE JIS TARHANN MERI TUJH MEIN KEH TUM MERI JAAN HO. YOON TERA DIL BHI MERE PAAS HAE JESE MERA DIL TERE PAAS HAE. MEIN BAHUT KHOSH HOON KEH TU MERA YAAR HAE KEH TUM MERA ESHQ O ARZOO HO AUR TUM MERE HO. PHIR MEIN AIK BUHJE HWE CHRAAGH KI TARAF ATA HOON KEH AAE CHRAAGH TUM KITNE KHOSH THE JAB TUM SE NOOR NIKLTA THA AUR AB TUM UDAAST HO. WOH YA'NI MERA MEHBOOB DINYA KI AARZOO HAE. WOH MERE ESHQ MEIN YOON ZINDA HAE MAR KAR KEH JALTI HUWI LAKRI HAE(UOOD KOHSBODAR LAKRI KO KEHTE HEIN) JIS KI KHOSHBOO SARE JAHAN MEIN PHEL GAYI . YAHAN MEIN YEH KEHNA CHAHTA HOON KEH MERA DIL THA JO IS SE BARBAAD HO GYA AUR MEIN BADNAAM HO GYA. IS SHER SE YEH WAZE HAE KEH PEHLE DO BANMD SAB EK HASRAT, KHUWAAB AUR TASAWER KA BYAAN THE AUR WOH MJAZI THE HAQIQAT SE DOOR. PHIR MEIN YEH KEHTA HOON KEH WOH CHRAAGH HIS SE SUKHAN KI WOH MERE ESHQ KA CHRAGH THA (YA'NI MERA ESHQ NAKAAM RAHA) PAR AB TUM MERE GUZASHTAH KHYAALOON KI DUNYAA KE HO KYOON KE AB MEIN NE SAB BHULA DIYA HAE. TU TO PURANI BAAT HO. AKHIR MEIN MEIN APNE ESHQ KO AIK GUMAAN KEHTA HOON KEH WOH AIK KHYAAL KI TARHAAN AA KAR CHAL GYA...

  2. #2
    u hve given much explanation for this...its sure for me to understand...as usual aap ne achi likhi hai...Thanks 4 sharing and informing shaeireurdu..:up;



  3. #3

  4. #4
    Shukriyaa aapka!

  5. #5
    good job.. it's very gud.
    And now somehow all that's left are pieces of a...

    The faded photographs,
    The frames of broken glass,
    The shattered memories,
    Time will soon erase,
    All these souvenirs,
    Salt from a thousand tears, :cryss:
    But when I wake up you are never there.

  6. #6
    Quote Originally Posted by criminallz, post: 300542
    good job.. it's very gud.
    TASLEEM!!!

  7. #7
    LaaJawaab! Wah Wah Wah Wah Wah!

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •