::. Barish Ki Ek Bondh .::


Aik saal beet gaya .. magar abh bhi sab kuch waisa ka waisa hai .. wohi darakht .. wohi pahariyan .. wohi bal khati sarak .. aisa lagta hai jaise main ne yahein khare saal guzar diya .. isi jaga .. aik saal pehle .. sab kuch aisa he toh lag raha tha .. wohi kalay badal .. woh taiz thandi hawa .. wohi pahari keh kinare darkht .. wohi telay .. aur bilkul os telay keh saath meri mun pasand jaga .. es jaga ki khas baat toh mujhe nahi pata .. magar pata nai kyon .. jab bhi mera dil ghabrata hai .. main yahan chala aata hon .. bas gari bilkul pahaar keh aakhir tak le jata hon .. aik ghane darkht keh saath khari ki .. aur phir bonnet peh baith keh neche duniya ko deekhta rehta hon .. kitna acha manzir hai .. woh samne ta had-e-nazr tak sabz pahariyan .. aur en sab keh beech main chota sa shehr .. onchai keh waja se sab kuch dhondhla sa gaya hai .. pata nai kitni dair tak baitha rehta hon main yahan pe .. thandi hawa ko mehsos karta hon .. os se baatein karta hon .. apne aap se sargoshiyan karta hon .. zor se sans laite hoye bhi dar lagta hai keh kahein yeh haseen khaab tot nah jaye .. aik saal beet gaya .. magar abh bhi sab kuch waisa ka waisa hai .. !

Kitni he baar yahan peh barish main bheega hon .. bondon se khaila hon .. hawaon keh saath gungunaya hon .. kitni he baar badlon keh saath barsa hon .. ! aisa lagta hai goya .. yahan sab mere liye he hon .. yeh lehlahate darkht .. yeh onchay pahaar .. yeh kaalay sayah badal .. yeh thandi hawa .. yeh narm-o-mulaem sabza .. aur dor dor tak koi aur insaan ka namo nishaan tak nahi .. toh es muqaam peh aa keh thori deewangi toh jaiz hai na .. isi liye khud se baatein karta hon .. aik saal beet gaya .. magar abh bhi sab kuch waisa ka waisa hai .. !

Yahan peh barish main bheegna bhi himat ka kaam hai .. sardi es inteha ki hoti hai .. insaan ki roh tak jum jati hai .. magar aaj main kuch himat nahi juta paya .. jaise he barish shoro hoi .. main gari mein dapak keh baith gaya .. aur samne walay sheshay peh barish ki bondon ko girta deekhta raha .. ajeeb sa lag raha tha .. sheshay ki agli taraf aik bohat he khobsurat manzir tha .. aise jaise kisi musawir ne apni qabliyaat ka saboot diya ho .. aur yeh barish ki bondein .. aisa lagta tha jaise os tasweer ko kharab kar rahi hon .. woh aik aik kar keh bondh ka girna .. aur phir bondh se bondh ka milte chalay jana .. aur aakhir peh aik qataar main neeche ki taraf barhte jana .. aisa lag raha ho jaise kisi ne os musawir ki sari mehnat peh pani phenk diya ho .. sari tasweer he kharab kar dali ho .. magar phir woh aik bar viper ko on karna .. aur sab kuch waisa ka waisa .. wapis .. osi halaat main .. jaise kuch lamhe pehle tha .. jaise aik saal pehle tha .. !

Aur phir dobara se unhe bondon ka girna .. aur wohi pori tasweer ka bigarna .. kitna ajeeb hai .. woh rang se rang milna .. woh sab kuch dhondhla jana .. magar ek aas hona keh .. sab kuch theek ho jaye ga .. bas aik lamhe main .. bas isi aas peh main os tasweer ko kharab hota deekhta rehta .. aur jab raha nah jata toh bas aik jatke se viper on karnta aur phir se meri tasweer mere paas .. bilkul waise he .. jaisa kuch lamhe pehle thi .. jaise aik saal pehle thi .. !

Barish ki ek bondh .. mujhe kya kuch sikha de gi .. main ne kabhi nah socha tha .. zindagi aise he hai .. hamari aik munpasand tasweer .. munpasand khaab .. ko kharab karti rehti hai .. magar phir wohi aik lamha chahiye .. jis main sab theek ho jaye ga .. sab waisa ka waise ho jaye ga jaisa hum chahte hain .. bas hai kuch toh woh intezaar .. zindagi hamein koi on off switch nahi deti .. deti hai toh bas aik ehsas .. dhair sara hosla .. bas karna hai toh thora sa sabar .. aur thori si koshish .. kyon keh kya pata aglay lamhe kuch aisa ho jaye keh .. sab kuch waisa ho jaisa soch rakha tha .. jaisa kuch lamhe pehle tha .. jaisa aik saal pehle tha .. !