Wrote this long time back .. her aaj achanak yaad aa gai es ki toh sharing wid u all ..

::. Rona Chahta Hoon .::

Sab Keh Beech Muskura Muskura Keh Thak Gaya Hoon...
Kuch Dair Akelay Rona Chahta Hoon...

Duniya Ke Mehfilon Say Tang Aa Gaya Hoon...
Kuch Dair Tanha Rehna Chahta Hoon...

Zindagi Ki Rahoon Per Sath De De Ker Toot Gaya Hoon...
Kuch Dair Khud Ko Samaitna Chahta Hoon...

Dosron Ki Madad Ker Ker Keh Choor Ho Gaya Hoon...
Kuch Dair Apni Madad Karna Chahta Hoon...

Tasaliyaan Day Day Ker Lafzoon Say Khali Ho Gaya Hoon...
Kuch Dair Apnay Ilfaz Dhondhna Chahta Hoon...

Doston Ko Sambhaltay Sambhaltay Bikhar Gaya Hoon...
Kuch Dair Khud Ko Sambhalna Chahta Hoon...

Sansein Bant Bant Ker Dil Shikasta Ho Gaya Hoon...
Kuch Dair Khud Sansein Laina Chahta Hoon...

Yaaron Keh Ansoo Saaf Kar Kar Keh Ukta Gaya Hoon...
Kuch Dair Khud Ansoo Bahana Chahta Hoon...

Muskura Muskura Ker Thak Gaya Hoon...
Kuch Dair Akelay Rona Chahta Hoon...