baadal orh k guzroon ga main teray aangan se
qaus o qazah k sab rangonmain tujh ko bheega dekhoon ga

raat gaye jab chaand sitaray lukan meeti khelein gay
aadhi raat ka sapna ban kar main bhi tum ko chuu loon ga

be-mausam baarish ki soorat der talak aur door talak
teray diyar-e-husn pe main bhi kin min kin min barsoon ga

sharam se dohra ho jaye ga kaan para wo bunda bhi
baad-e saba k lehjay main ek baat main aisee poochoon ga

safha safha ek kitaab husn si khultee jaye gi
aur usi ko lau main phir main tum ko azbar kar loon ga!

waqt k ek kankar nay jis ko akson main taqseem kia
aab-e-rawan main kaisay amjad ab wo chehra joroon ga