Tujhay dil say hamnay bhula diya kiya bura kya?
Har jafa ka badla wafa diya kiya bura keya!


Tujhay bhoolnay tujhay chahney he k darma'yan
Khud apna aap bhula diya kiya bura keya!


Tumhein aaj tak na khaber hui meri jaan-e-ejaan
Kisi hastay huy ko rula diya, kiya bura keya?


Teri aarzo, wohi sarkashi yehi ma'i kashi
kuch kho Liya kuch paa Liya kiya bura keya?


Bita k poori umer ye hisab-e-zameer kiun?
Kiya bhala keya?kiun bura kiya?kiya bura keya