sher meray sab ghazlain meri sab teray nazranay hain
meri masoom muhabbat par, duniya kay liye afsanay hain



abhi to mujh ko chahtay ho par ik din aisa hona hai
teray labon say niklay ga ye shaair log deewanay hain



log mujhe deewana kahain par tera dill kya kahta hai
dill ki batain woh kya janain log to bus anjanay hain



tum ko jana hai to jao na wadon say bahlao tum
ankhain teri sach kahtee hain, honton pay bahanay hain



tujh ko dekh k jeetay hain tujh pay hi mar jayen gaay
chupke say jal jaein gaay hum jaisay jalain parwanay hain