Dil dhaDakane ka sabab yaad aayaa
Who teri yaad thi AB yaad aayaa

Aaj mushkil tha sambhalna aye dost
Tu musibat mein ajab yaad aayaa

Din guzaaraa tha bari mushkil se
Phir tera vaadaa-e-shab yaad aayaa

Tera bhoola hua paimaan-e-wafaa
Marr ke raheingey agar AB yaad aayaa

Phir Kai log nazar se guzrey
Phir koi shahar-e-tarab yaad aayaa

Haal-e-dil hum bhi sunaatey lekin
Jab who rukhsat huway tab yaad aayaa

BaiTh kar saayaa-e-gul mein
Ham bohat roye who jab yaad aayaa