Woh muhabat ko peristish ka maqam detta tha
Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samaghta tha
Kehta tha muhabat mein koi gha'rz posheeda naheen hoti
Muhabat to be-gharz aur lafani hoti hey
Kuch ajjeb falsafa mohabat mein us ka tha key
Woh meri mohabat ka talib bhi tha
Aur mein usey matloob bhi na thi
Kehta tha key mein us ki rooh mein jazb hoon aisey
Key mujh ko panney ki us ko hasrat bhi naheen
Ajeeb shakhs tha kuch ajjeb se us ki kahani thi
Yeh dor ab aisi mohabatoon ka naheen raha
Millan key baghair mohabatoon ka kia tassawer hey
Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey
Yeh dor to faqt agh'raaz pey mabni hey
Meri mohabat bhi sirf char din ki kahani thi
Koi gaari aik hee station pey hamesha naheen rukti
Waqt key sath khiyalat badaltey jatey hein
Mohabat baqi rehti hey mehboob badaltey jatey hein
Mein ney chaha key khiyalat us key badal dallon aur
Mohabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
Woh mohabat ka pujari tha mein ney
Us ko tanhai ki saza dey dali ..




Post By Panjabi.Girl