Us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto

ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto



sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa

raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto



ankhon main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul

ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto



ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad

tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto


Munir Niazi