Vo nazani har din kuchh adaa naya kartee hain, kabhi humse nafrat to kabhi haya kartee hain...
Vo nazuk etni hai ki usse titliya bhi na dare, ek hum hai jo usse baat karne se dara karte hain...
Aakhir kaun nahi chahega uske kareeb aana, lo vo phoolo ko chhukar unpar daya kartee hain...
Tum yun tayaar hokar na nikala karo ghar se, shaher ki hasinaye tumhe dekhkar jala kartee hain...
Ese hi chala karo tum nazar jhukaye huye, tere ek nazar se hum jaise log mara karte hain...
Dharkano ke sath samay bhi thaher jata hai, vo jadugarni jab jab zami pe chalaa kartee hai...
Kabhi hume bhi dekhkar muskura liya karo, tumse hi zindagi me hum rang bhara karte hai...
Jiski roshanee bikhari huyi hai baharo me, uski yado ke jalte diye se hum jala karte hain...