Ab aansun ko aankhon main sajana hoga,
Chiraag bujh gaye khud ko jalaana hoga.

Na samjhna ke tumse bichad ke khush hain,
Hamain logon ki khaatir muskuraana hoga.

Phir shaam dhal gai tum aaye na aaj bhi,
Dil ko aaj phir ummeedon se behlaana hoga.

Waada khilaafi kar ke muskurate ho aap,
Dekhna ek din sanam aapko pachtaana hoga.

Lahoo se apne kafan pe tera naam likh jaunga,
Thaam ke haath main phool tumko aana hoga.

Abhi se na keejiye takaaz-e-masrufiyat ka bahana,
Abhi utthna hai janaza kaandha to daina hoga.

Muddaton kiya hai tera intizaar aap ka humnay,
Umr kat chuki hai ab to hamay jaana hoga.