Apne ghar main rung-o-boo ki mehfil saja raha hoon
Main khud apne hi marne ka jashan mana raha hoon

Zameer ka aaj main ne apne sauda kia hai
Main is tijarat ki aaj khushian mana raha hoon

Apni nazron mian, main khud hi gior gaya hoon
Tabdeli-e-mansab per mian nachta ja raha hoon

Aziz yaar mer sab rooth chuke
Naye dost banane per main jhoomta ja raha hoon

Ab is se aage aur kia kahoon HASSAN
Main apna marsia khud ko hi sunata ja raha hoon

....