Jeet hi lenge baazi hum tum, khel adhoora chhoote na
Pyar ka bandhan, janam ka bandhan,
Janam ka bandhan toote na, pyar ka bandhan toote na !

Milta hai jahan dharti(earth) se gagan(sky),
aao wahin hum jayein,
Tu mere liye, main tere liye, iss duniya ko thukrayein
Iss duniya ko thukrayein,
Door basaa lenge kahin jannat,
Chahe zamana chhoote na,
Pyar ka bandhan, janam ka bandhan
Janam ka bandhan toote na, pyar ka bandhan toote na !

Milne ki khushi, na milne ka gham,Khatm ye jhagde ho jayein
Tu tu na rahe, main main na rahoon,eik dooje mein kho jayein
Eik dooje mein kho jayein
Main tou na chhodoon pal bhar daman, tu mujhse bhi roothe na
Pyar ka bandhan, janam ka bandhan
Janam ka bandhan toote na, pyar ka bandhan toote na !!