Aik dafa Aik lakarhaara , apney gadhey par lakriyaa'n ladey jungle se guzar raha tha. Achanak uss ki nazar aik LAAL (Ruby) pat pari. Uss ne ussey aik aam sa pathar samajh kar apney gadhey ke galey mein baandh diya.
Jab wo lakriyaa'n bechney shehar pohancha to aik Johari ki LAAL par nazar pari to uss ne Lakarhaarey se ussey khareedna chaha , Johari ne Lakarhaarey se uss LAAL ki qeemat maangi to lakarhaarey ne jawab diya,
"Main iss ka poora Aik Ropya loo'n ga , iss se aik paisa bhi kam nahi ho ga"

yeh sun ka Johari ne kaha ,
"Main tumhein iss ke 50 paise de sakta hoo'n iss se zayada nahi"


Johari ke munh se yeh Nikalna tha ke LAAL phat para aur chikna choor ho ke Zameen par gir gaya. yeh dekh kar johari ne LAAL se kaha
"Gadhey ke galey mein lataktey rehney se tujhey kuch na hua aur jaise hi main ne qeemat lagayi , tujhey ghairat aa gayi"

yeh sun ka LAAL ne jawab diya, "Lakarhaara meri Qadar-o-Qeemat se waqif nahi tha ,iss liye aik gadhey ki gardan mein bhi main khush tha , magar Tu to meri qeemat jaanta tha , teri lagayi hui qeemat mujh se bardaasht na ho saki"