Kuch Khuab Kyon poore Nahi Hote
Kyon Jagte Hain Khuab,Armaan Nahi Sote
Kyon Anjan Chehre Satate hain
Kyon Aisa Lagta Hai Vo Hamai Apne paas bulate hain
Kehne Ko to Ek sapna Sa Lagta Hai
Per kyon Vo hamai Apna Sa Lagta hai
Bina Kisi door ke Vo Kheechta jata hai
Kyon Vo Chehra mujhai Apne Paas Bulata Hai

Raat Ki tareeki , Vo sama
Na Kuch bayan, Na Kuch Ayan
Kyon Vo Khuab Hoker bhi
Karjata Hai Haqeeqat Ko hairaan
Sooraj Ki Kirno Se Bhi Kyon Nahin Vo Chupta hai
Kyon Vo Khuab Mujhai Khud Mai Samota Mehsoos Hota hai
Aasmaan Ki Dhanak Se Bhi Ziada Kyon Vo Jagmagata Hai
Kyon Vo Chehra mujhai Apne Paas bulata hai


Ek pal Mai Sadyon Ka safar tai Karlene Jaisee thakan
Aur Is Tahakan Ki Doori jaise Koi aafat Koi Qeher
Kyon Junoon sa Mehsoos Hota Hai Is Thakan mai
Kyon Nazar Aata hai wahi chehra Her Matan Mai
Benaam Si Manzil aur Anjani Hasti
Bina Pani Kai Ho Jaise Koi Chaltee Kashti
Qadam ye Soch kai Jab Bhi Larkharata Hai
Kyon vo chehra mujhai Apne Paas Bulata hai