Mein kya likhoon ?
ke feham mein
koi soch gardnasheen nahin
koi khayal-e-jaan
maazi ki dhoop se
meri aarzo ki chhaon ka
makeen nahin
makeen nahin

mein kya likhoon ?
ke beet gae
arsay daraz is bat ko
jo siyahi thi sookh gae
kisi shabnami si rat ko

mein kya likhoon ?
ke khatkashi mein
huroof simat se jatey hain
mere hi lafz najanay kyon
dilasay sabit ho jatey hain

mein kya likhoon ?
ke tehreerein
mundmil bhi ho jaengi
kisi deed ki roshnai se
dhul ke kahin kho jaengi

mein kya likhoon ?
jab qalm hi mera
hath chhorta jata hai
saharon ki fikar nahi
woh to sath chhorta jata hai

to kyon yeh khawahish bar bar
mere dil mein phir panapti hai
ehsas ki manzarkashi mein
darar phir se parti hai
jab aeena-e-dil mein
koi aks ronama hota hai
khayal-o-khawab se dur kahin
koi shaks guman hota hai
to lafz bikharne lagte hain
izhar machalnay lagta hai
khamoshiyon ki rahon mein
bebas sama sa lagta hai
junbish ki kisi chokhat par
jab lab thartharatay hain
muntazir teri bat ke
sanatay jo doob jatey hain
is intezar-e-shab mein
is bekhudi ke qehar mein

mein kya likhoon ?
ke mere pas
in zakhmon ka marham nahin
mein kya likhoon
mere dosto!
mere pas ab woh za'am nahin